maqtal ki eid-e-qurban
kitne ādāb se maqtal ko sajāyā gayā hai
phir tirī bazm se zindoñ ko uThāyā gayā hai
sach kisī jhuuT kī taḳhlīq nahīñ kar saktā
jaane kyā hai jo salīqe se chhupāyā gayā hai
is se baḌh kar nahīñ ho saktī fanā kī tasvīr
aisī hikmat se khilaune ko banāyā gayā hai
eid-e-qurbāñ se muqaddas nahīñ koī taqrīb
is tarah bhūlā sabaq yaad dilāyā gayā hai
is tarah ḳhvāb se miltī nahīñ koī ta.abīr
jaise sahrā meñ samundar ko bulāyā gayā hai
jaane ye kis ne banā.ī hai qayāmat kī shabīh
sirf ilzām musavvir pe lagāyā gayā hai
aur puḳhta huī jannat kī bashārat 'ḳhurshīd'
jis tarah miTTī meñ miTTī ko milāyā gayā hai
kitne aadab se maqtal ko sajaya gaya hai
phir teri bazm se zindon ko uThaya gaya hai
sach kisi jhuT ki taKHliq nahin kar sakta
jaane kya hai jo saliqe se chhupaya gaya hai
is se baDh kar nahin ho sakti fana ki taswir
aisi hikmat se khilaune ko banaya gaya hai
eid-e-qurban se muqaddas nahin koi taqrib
is tarah bhula sabaq yaad dilaya gaya hai
is tarah KHwab se milti nahin koi tabir
jaise sahra mein samundar ko bulaya gaya hai
jaane ye kis ne banai hai qayamat ki shabih
sirf ilzam musawwir pe lagaya gaya hai
aur puKHta hui jannat ki bashaarat 'KHurshid'
jis tarah miTTi mein miTTi ko milaya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.