paigham eid
apnī āñkhoñ meñ ḳhamistān-e-mai-e-nāb liye
apne aariz pe bahār-e-gul-e-shādāb liye
apne māthe pe daraḳhshānī-e-mahtāb liye
nik.hat-o-rañg liye nuur kā sailāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zulf bikhrī hai ki rahmat kī ghaTā chhā.ī hai
jis taraf dekhiye ra.anā.ī hī ra.anā.ī hai
rahguzar kāhkashāñ ban ke nikhar aa.ī hai
zarra zarra hai jamāl-e-dur-e-ḳhush-āb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
ḳhārzāroñ pe gulistāñ kā gumāñ hai imroz
shikva-e-jaur kisī lab pe kahāñ hai imroz
multafit chashm-e-hasīnān-e-jahāñ hai imroz
kitne taslīm liye kitne hī ādāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
kis qadar rahmat-e-sāqī-e-azal aam hai aaj
raqs-e-paimāna liye gardish-e-ayyām hai aaj
bāda-e-kaif se labrez har ik jaam hai aaj
ishrat-e-rūh o sukūn-e-dil-e-betāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
dosh-e-gītī pe pareshāñ huī phir zulf-e-shamīm
laḌkhaḌātī huī phirtī hai gulistāñ meñ nasīm
phir zamīñ ban ga.ī ġhairat-dah-e-gulzār-e-na.īm
ḳhaak hai taḳhta-e-gul bistar-e-sanjāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zindagī rañj-o-alam bhuul ga.ī hai ai dost
mahfil-e-zīst ba-sad-shauq sajī hai ai dost
ishq begāna-e-āshufta-sarī hai ai dost
husn hai pairahan-e-atlas-o-kamḳhvāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
dard-e-hastī kī davā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
aao ik farz adā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
aao tajdīd-e-vafā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
jazba-o-shauq-e-ham-āhañgī-e-ahbāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
apni aankhon mein KHamistan-e-mai-e-nab liye
apne aariz pe bahaar-e-gul-e-shadab liye
apne mathe pe daraKHshani-e-mahtab liye
nikhat-o-rang liye nur ka sailab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
zulf bikhri hai ki rahmat ki ghaTa chhai hai
jis taraf dekhiye ranai hi ranai hai
rahguzar kahkashan ban ke nikhar aai hai
zarra zarra hai jamal-e-dur-e-KHush-ab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
KHarzaron pe gulistan ka guman hai imroz
shikwa-e-jaur kisi lab pe kahan hai imroz
multafit chashm-e-hasinan-e-jahan hai imroz
kitne taslim liye kitne hi aadab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
kis qadar rahmat-e-saqi-e-azal aam hai aaj
raqs-e-paimana liye gardish-e-ayyam hai aaj
baada-e-kaif se labrez har ek jam hai aaj
ishrat-e-ruh o sukun-e-dil-e-betab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
dosh-e-giti pe pareshan hui phir zulf-e-shamim
laDkhaDati hui phirti hai gulistan mein nasim
phir zamin ban gai ghairat-dah-e-gulzar-e-naim
KHak hai taKHta-e-gul bistar-e-sanjab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
zindagi ranj-o-alam bhul gai hai ai dost
mahfil-e-zist ba-sad-shauq saji hai ai dost
ishq begana-e-ashufta-sari hai ai dost
husn hai pairahan-e-atlas-o-kamKHwab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
dard-e-hasti ki dawa kar len KHulus-e-dil se
aao ek farz ada kar len KHulus-e-dil se
aao tajdid-e-wafa kar len KHulus-e-dil se
jazba-o-shauq-e-ham-ahangi-e-ahbab liye
eid aai hai mohabbat ka naya bab liye
- Book : Kulliyat-e-Safeer-e-Shahr-e-Dil (Pg. 138)
- Author : Hafeez Banars
- Publication : Educational Publishing House (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.