Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid

chalo ham eid manā.eñ ki jashn din hai

ḳhushī ke giit sunā.eñ ki jashn din hai

ruḳhoñ pe phuul khilā.eñ ki jashn din hai

diloñ meñ priit jagā.eñ ki jashn din hai

magar ruko zarā Thahro ye siskiyāñ kaisī

ḳhushī ki rut meñ dukhoñ ye badliyāñ kaisī

suno ye ġhaur se maa.eñ bilak rahī haiñ kahīñ

ye dekho bachchoñ āñkheñ chhalak rahī haiñ kahīñ

kisī ke eid ke joḌe meñ hai kafan aayā

kahīñ pe zaḳhmoñ se lipTā huā badan aayā

koī to khilne se pahle kalī ko luuT gayā

kahīñ daraḳht apnī zamīñ se TuuT gayā

kis ne kar diye pāmāl sāya-dār shajar

jaḌeñ kahīñ pe kaTīñ aur kahīñ bache na samar

kahāñ haiñ vo ki jo ḳhud ko ḳhudā samajhte haiñ

vo jo ki amn-o-amāñ ke fasāne kahte haiñ

vo jin ke haath meñ rahtā hai parcham-e-insāñ

hue haiñ un ke sab afkār-e-amn ab uryāñ

agar haiñ sāhab-e-kirdār to zabāñ kholeñ

agar haiñ sāhab-e-īmāñ to phir vo sach boleñ

haiñ muqtadir to bas ab rok leñ husām-e-jaur

ye bahtī ḳhuun nadiyāñ musībatoñ daur

pa un se koī umīd-e-vafā kare kaise

jo ba-duā ho mujassam duā kare kaise

jahāñ meñ chaar taraf chīḳh hai karāhe haiñ

sitam-rasīda diloñ se nikaltī aaheñ haiñ

hai shor-e-nāla-o-āh-o-buka chahār taraf

kahāñ eid hai mātam bapā chahār taraf

manā.e kaise koī eid har taraf ġham hai

manā.e kaise koī eid aañkh pur-nam hai

sunā.e kaise koī giit saaz TuuT ga.e

jagā.e kaise koī aas apne chhūT ga.e

magar ye eid din bhī to ik haqīqat hai

ki vaj.h-e-eid samajhnā bhī ik ibādat hai

chalo ki rote huoñ ko hañsā ke eid manā.eñ

kisī ke dard ko apnā banā ke eid manā.eñ

diloñ se apne adāvat miTā ke eid manā.eñ

kisī ke lab pe tabassum sajā ke eid manā.eñ

chalo hum eid manaen ki jashn ka din hai

KHushi ke git sunaen ki jashn ka din hai

ruKHon pe phul khilaen ki jashn ka din hai

dilon mein prit jagaen ki jashn ka din hai

magar ruko zara Thahro ye siskiyan kaisi

KHushi ki rut mein dukhon ki ye badliyan kaisi

suno ye ghaur se maen bilak rahi hain kahin

ye dekho bachchon ki aankhen chhalak rahi hain kahin

kisi ke eid ke joDe mein hai kafan aaya

kahin pe zaKHmon se lipTa hua badan aaya

koi to khilne se pahle kali ko luT gaya

kahin daraKHt hi apni zamin se TuT gaya

kis ne kar diye pamal saya-dar shajar

jaDen kahin pe kaTin aur kahin bache na samar

kahan hain wo ki jo KHud ko KHuda samajhte hain

wo jo ki amn-o-aman ke fasane kahte hain

wo jin ke hath mein rahta hai parcham-e-insan

hue hain un ke sab afkar-e-amn ab uryan

agar hain sahab-e-kirdar to zaban kholen

agar hain sahab-e-iman to phir wo sach bolen

hain muqtadir to bas ab rok len husam-e-jaur

ye bahti KHun ki nadiyan musibaton ka daur

pa un se koi umid-e-wafa kare kaise

jo ba-dua ho mujassam dua kare kaise

jahan mein chaar taraf chiKH hai karahe hain

sitam-rasida dilon se nikalti aahen hain

hai shor-e-nala-o-ah-o-buka chahaar taraf

kahan ki eid hai matam bapa chahaar taraf

manae kaise koi eid har taraf gham hai

manae kaise koi eid aankh pur-nam hai

sunae kaise koi git saz TuT gae

jagae kaise koi aas apne chhuT gae

magar ye eid ka din bhi to ek haqiqat hai

ki wajh-e-eid samajhna bhi ek ibaadat hai

chalo ki rote huon ko hansa ke eid manaen

kisi ke dard ko apna bana ke eid manaen

dilon se apne adawat miTa ke eid manaen

kisi ke lab pe tabassum saja ke eid manaen

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now