aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid ka din

Majeed Lahori

eid ka din

Majeed Lahori

MORE BYMajeed Lahori

    zahe-qismat hilāl-e-eid sūrat nazar aa.ī

    jo the ramzān ke bīmār un sab ne shifā paa.ī

    pahāḌoñ se vo utre qāfile roza-guzārūñ ke

    gayā garmī 'mausam aur aa.e din bahāroñ ke

    uThā hotel 'parda sāmne parda-nashīñ aa.e

    jo chhup kar kar rahe the ehtirām-e-hukm-e-dīñ aa.e

    huī añgūr beTī se ''mastī-ḳhān'' shādī

    khule dar mai-kadoñ ke aur milī rindoñ ko āzādī

    naved-e-kāmrānī rahe haiñ race ke ghoḌe

    masarrat ke tarāne rahe haiñ race ke ghoḌe

    mubārak ho ki phir se ho gayā ''dance'' aur ''dinner'' chālū

    ḳhalās ahl-e-nazar hoñge huā dard-e-jigar chālū

    namāz-e-eid paḌhne ke liye sarkār aa.e haiñ

    aur un ke saath saare tālib-e-dīdār aa.e haiñ

    yahī din ahl-e-dil ke vāste ummīd din hai

    tumhārī diid din hai hamārī eid din hai

    zahe-qismat hilal-e-eid ki surat nazar aai

    jo the ramzan ke bimar un sab ne shifa pai

    pahaDon se wo utre qafile roza-guzarun ke

    gaya garmi ka 'mausam aur aae din bahaaron ke

    uTha hotel ka 'parda samne parda-nashin aae

    jo chhup kar kar rahe the ehtiram-e-hukm-e-din aae

    hui angur ki beTi se masti-KHan ki shadi

    khule dar mai-kadon ke aur mili rindon ko aazadi

    nawed-e-kaamrani la rahe hain race ke ghoDe

    masarrat ke tarane ga rahe hain race ke ghoDe

    mubarak ho ki phir se ho gaya dance aur dinner chaalu

    KHalas ahl-e-nazar honge hua dard-e-jigar chaalu

    namaz-e-eid paDhne ke liye sarkar aae hain

    aur un ke sath sare talib-e-didar aae hain

    yahi din ahl-e-dil ke waste ummid ka din hai

    tumhaari did ka din hai hamari eid ka din hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now