Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid us pari-wash ki

Abdul Ahad Saaz

eid us pari-wash ki

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    phūTī lab-e-nāzuk se vo ik shoḳh laalī

    thoḌī shafaq āriz-e-tābāñ ne churā

    phir baam jānib uThe abrū-e-hilālī

    aur chāñd ne sharmā ke kahā eid-mubārak

    chheḌā vo hasīñ shab ne tamannāoñ jaadū

    lahrā ga.ī ḳhalvat-kada-e-nāz meñ ḳhushbū

    haule se sañvarne lage ehsās ke gesū

    kis ne dar-e-dil pe sadā eid-mubārak

    jhalkā ruḳh-e-raushan pe hasīñ sub.h partav

    gulnār hathelī pe hinā dene lagī lau

    zulfoñ se chalī nik.hat-e-vārafta ik rau

    paiġhām liye aa.ī sabā eid-mubārak

    sakhiyoñ ne ḳhayāloñ ke hasīñ rañg ubhāre

    jaage ka.ī ḳhvābīda se jazbāt ke dhāre

    phūTe vo nigāhoñ se tabassum ke phuvāre

    māhaul huā naġhma-navā eid-mubārak

    sadqe tire ai rūh-e-adā paik-e-latāfat

    ḳhush aa.e tire husn ko ye kaif saa.at

    ye tohfa-e-ash.ār hai nazrān-e-ulfat

    ai jān-e-hayā jān-e-vafā eid-mubārak

    phuTi lab-e-nazuk se wo ek shoKH si lali

    thoDi si shafaq aariz-e-taban ne chura li

    phir baam ki jaanib uThe abru-e-hilali

    aur chand ne sharma ke kaha eid-mubarak

    chheDa wo hasin shab ne tamannaon ka jadu

    lahra gai KHalwat-kada-e-naz mein KHushbu

    haule se sanwarne lage ehsas ke gesu

    di kis ne dar-e-dil pe sada eid-mubarak

    jhalka ruKH-e-raushan pe hasin subh ka partaw

    gulnar hatheli pe hina dene lagi lau

    zulfon se chali nikhat-e-warafta ki ek rau

    paigham liye aai saba eid-mubarak

    sakhiyon ne KHayalon ke hasin rang ubhaare

    jage kai KHwabida se jazbaat ke dhaare

    phuTe wo nigahon se tabassum ke phuware

    mahaul hua naghma-nawa eid-mubarak

    sadqe tere ai ruh-e-ada paik-e-latafat

    KHush aae tere husn ko ye kaif ki saat

    ye tohfa-e-ashaar hai nazran-e-ulfat

    ai jaan-e-haya jaan-e-wafa eid-mubarak

    Source:

    khamoshi bol uthi hai (Pg. 186)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now