Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pagal ki id

Khalid Mubashshir

ek pagal ki id

Khalid Mubashshir

sunā hai iid aa.ī thī

sunā hai merī miTTī ko vatan laayā gayā us din

sunā hai mere a.azā ne adākārī bahut achchhī tarah thī

nazar ne chāñd bhī dekhā

zabāñ ne saarī duniyā ko mubārakbādiyāñ bhī diiñ

badan ne sub.h-dam uTh kar nahāyā bhī

na.e kapḌe bhī pahne itr mal kar īd-gah kar dogānā bhī adā kar

gale ne bhī gale milne ik dastūr-e-derīna bahut jam kar nibhāyā thā

siva.iyāñ shiir khāne milne-julne iid ḳhushiyāñ manāne sabhī rasmeñ adā thiiñ

magar ye kaun pāgal hai

mirī miTTī ke andar siskiyāñ bhartā huā pāgal

ajab hasrat se kahtā hai ki iid aa.ī nahīñ ab tak

suna hai id aai thi

suna hai meri miTTi ko watan laya gaya us din

suna hai mere aaza ne adakari bahut achchhi tarah ki thi

nazar ne chand bhi dekha

zaban ne sari duniya ko mubarakbaadiyan bhi din

badan ne subh-dam uTh kar nahaya bhi

nae kapDe bhi pahne itr mal kar id-gah ja kar dogana bhi ada kar li

gale ne bhi gale milne ka ek dastur-e-derina bahut jam kar nibhaya tha

siwaiyan shir khane milne-julne id ki KHushiyan manane ki sabhi rasmen ada ki thin

magar ye kaun pagal hai

meri miTTi ke andar siskiyan bharta hua pagal

ajab hasrat se kahta hai ki id aai nahin ab tak

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now