ek aam waqia
mujhe nā samajhne vaale kuchh nā samajhne vaale
aksar milte haiñ aur aage bhī milte raheñge
dekho tumhāre hone nā hone se koī ḳhaas farq nahīñ aayā
in kī be-ruḳhī aksar tumhārī shakl le letī hai
aur mujhe tumhārī kamī kā zarā bhī ehsās nahīñ hotā
kaash tumheñ bhī kuchh aise pāgal log mileñ
jo tumheñ samajhne kī zid meñ aur pāgal hue jā rahe hoñ
aur tum
ek aam vāqi.a samajh ke bhuul jaao mujhe
mujhe na samajhne wale kuchh na samajhne wale
aksar milte hain aur aage bhi milte rahenge
dekho tumhaare hone na hone se koi KHas farq nahin aaya
in ki be-ruKHi aksar tumhaari shakl le leti hai
aur mujhe tumhaari kami ka zara bhi ehsas nahin hota
kash tumhein bhi kuchh aise pagal log milen
jo tumhein samajhne ki zid mein aur pagal hue ja rahe hon
aur tum
ek aam waqia samajh ke bhul jao mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.