ek aanch ki kami
sūraj āsmān se girā
aur lemūñ ban gayā
chāñd āsmān se girā
aur kapās kā phuul ban gayā
maiñ tārīḳh ke mīnār se girā
aur vāqi.a kyuuñ na ban sakā
paanī dariyāoñ se niklā
aur jañgal ban gayā
lafz kitāb se niklā
aur aalim ban gayā
maiñ us kī niyyat ke añdhere se niklā
aur āzādī kyuuñ na ban sakā
havā bādbān se girī
aur mallāh kā giit ban ga.ī
bosa hoñToñ se girā
aur mohabbat kā parinda ban gayā
din uqaab kī choñch se girā
aur sūraj-mukhī kā baaġh kyuuñ na ban sakā
tiir kamān se niklā
aur bādshāh ban gayā
shahzāda mahal se niklā
aur jogī ban gayā
ḳhayāl apne madār se niklā
aur nazm kyuuñ na ban sakā
ḳhvāhish dil se girī
aur kaalā gulāb ban ga.ī
nukta dhyān se girā
aur suufī ban gayā
maiñ zamīn par girā
aur bārish kā qatra kyuuñ na ban sakā!
suraj aasman se gira
aur lemun ban gaya
chand aasman se gira
aur kapas ka phul ban gaya
main tariKH ke minar se gira
aur waqia kyun na ban saka
pani dariyaon se nikla
aur jangal ban gaya
lafz kitab se nikla
aur aalim ban gaya
main us ki niyyat ke andhere se nikla
aur aazadi kyun na ban saka
hawa baadban se giri
aur mallah ka git ban gai
bosa honTon se gira
aur mohabbat ka parinda ban gaya
din uqab ki chonch se gira
aur suraj-mukhi ka bagh kyun na ban saka
tir kaman se nikla
aur baadshah ban gaya
shahzada mahal se nikla
aur jogi ban gaya
KHayal apne madar se nikla
aur nazm kyun na ban saka
KHwahish dil se giri
aur kala gulab ban gai
nukta dhyan se gira
aur sufi ban gaya
main zamin par gira
aur barish ka qatra kyun na ban saka!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.