aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aarzu

Allama Iqbal

ek aarzu

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    duniyā mahfiloñ se uktā gayā huuñ rab

    kyā lutf anjuman jab dil bujh gayā ho

    shorish se bhāgtā huuñ dil DhūñDtā hai merā

    aisā sukūt jis par taqrīr bhī fidā ho

    martā huuñ ḳhāmushī par ye aarzū hai merī

    dāman meñ koh ke ik chhoTā jhoñpaḌā ho

    āzād fikr se huuñ uzlat meñ din guzārūñ

    duniyā ke ġham dil se kāñTā nikal gayā ho

    lazzat sarod ho chiḌiyoñ ke chahchahoñ meñ

    chashme shorishoñ meñ baajā baj rahā ho

    gul kalī chaTak kar paiġhām de kisī

    sāġhar zarā goyā mujh ko jahāñ-numā ho

    ho haath sirhānā sabze ho bichhaunā

    sharmā.e jis se jalvat ḳhalvat meñ vo adā ho

    mānūs is qadar ho sūrat se merī bulbul

    nanhe se dil meñ us ke khaTkā na kuchh mirā ho

    saf bāñdhe donoñ jānib buuTe hare hare hoñ

    naddī saaf paanī tasvīr le rahā ho

    ho dil-fareb aisā kohsār nazāra

    paanī bhī mauj ban kar uTh uTh ke dekhtā ho

    āġhosh meñ zamīñ soyā huā ho sabza

    phir phir ke jhāḌiyoñ meñ paanī chamak rahā ho

    paanī ko chhū rahī ho jhuk jhuk ke gul Tahnī

    jaise hasīn koī ā.īna dekhtā ho

    mehñdī lagā.e sūraj jab shaam dulhan ko

    surḳhī liye sunahrī har phuul qabā ho

    rātoñ ko chalne vaale rah jaa.eñ thak ke jis dam

    ummīd un merā TuuTā huā diyā ho

    bijlī chamak ke un ko kuTiyā mirī dikhā de

    jab āsmāñ pe har bādal ghirā huā ho

    pichhle pahr koyal vo sub.h mo.azzin

    maiñ us ham-navā huuñ vo merī ham-navā ho

    kānoñ pe ho na mere dair o haram ehsāñ

    rauzan jhoñpaḌī mujh ko sahar-numā ho

    phūloñ ko aa.e jis dam shabnam vazū karāne

    ronā mirā vazū ho naala mirī duā ho

    is ḳhāmushī meñ jaa.eñ itne buland naale

    tāroñ ke qāfile ko merī sadā dirā ho

    har dardmand dil ko ronā mirā rulā de

    behosh jo paḌe haiñ shāyad unheñ jagā de

    duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab

    kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

    shorish se bhagta hun dil DhunDta hai mera

    aisa sukut jis par taqrir bhi fida ho

    marta hun KHamushi par ye aarzu hai meri

    daman mein koh ke ek chhoTa sa jhonpaDa ho

    aazad fikr se hun uzlat mein din guzarun

    duniya ke gham ka dil se kanTa nikal gaya ho

    lazzat sarod ki ho chiDiyon ke chahchahon mein

    chashme ki shorishon mein baja sa baj raha ho

    gul ki kali chaTak kar paigham de kisi ka

    saghar zara sa goya mujh ko jahan-numa ho

    ho hath ka sirhana sabze ka ho bichhauna

    sharmae jis se jalwat KHalwat mein wo ada ho

    manus is qadar ho surat se meri bulbul

    nanhe se dil mein us ke khaTka na kuchh mera ho

    saf bandhe donon jaanib buTe hare hare hon

    naddi ka saf pani taswir le raha ho

    ho dil-fareb aisa kohsar ka nazara

    pani bhi mauj ban kar uTh uTh ke dekhta ho

    aaghosh mein zamin ki soya hua ho sabza

    phir phir ke jhaDiyon mein pani chamak raha ho

    pani ko chhu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki Tahni

    jaise hasin koi aaina dekhta ho

    mehndi lagae suraj jab sham ki dulhan ko

    surKHi liye sunahri har phul ki qaba ho

    raaton ko chalne wale rah jaen thak ke jis dam

    ummid un ki mera TuTa hua diya ho

    bijli chamak ke un ko kuTiya meri dikha de

    jab aasman pe har su baadal ghira hua ho

    pichhle pahr ki koyal wo subh ki moazzin

    main us ka ham-nawa hun wo meri ham-nawa ho

    kanon pe ho na mere dair o haram ka ehsan

    rauzan hi jhonpaDi ka mujh ko sahar-numa ho

    phulon ko aae jis dam shabnam wazu karane

    rona mera wazu ho nala meri dua ho

    is KHamushi mein jaen itne buland nale

    taron ke qafile ko meri sada dira ho

    har dardmand dil ko rona mera rula de

    behosh jo paDe hain shayad unhen jaga de

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek aarzu Nomaan Shauque

    Source:

    Kulliyat-e-Iqbal (Pg. 46)

    • Author: Allama Iqbal
      • Edition: 2014
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2014

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now