ek actress
vo laḌkī vo ma.asūm alhaḌ sī laḌkī
kisī aarzū kī tarah dil-nashīñ thī
shuā-e-sahar kī tarah thī achhūtī
bahāroñ sitāroñ kā ḳhvāb-e-hasīñ thī
bahāroñ sitāroñ kā vo ḳhvāb lekin
nirālī hī ta.abīr meñ Dhal rahā hai
vo ma.asūm dil jo charāġh-e-vafā thā
havas kī bharī bazm meñ jal rahā hai
vo jalte hue kuchh pashemān bhī hai
nikhar bhī rahī hai magar is jalan se
jamāl-e-haqīqat bhī sharmā rahā hai
banāvaT ke is khokhle bāñkpan se
nadāmat ke TuuTe hue āñsuoñ ne
tabassum ko ārāsta kar diyā hai
bilakte hue valvaloñ ke lahū ne
nigāhoñ meñ bhī rañg sā bhar diyā hai
vo āzād panchhī jo Duubā huā thā
nashīle sajīle ḳhayāloñ ke ras meñ
baḌe naaz se bech kar pañkh apne
chahaktā hai ab maslahat ke qafas meñ
jo doshīzgī nik.hat-e-rā.egāñ thī
baḌā kār-āmad dhuāñ ban rahī hai
mohabbat bhare dil kī saada sī dhaḌkan
baḌī ḳhūb-sūrat fuġhāñ ban rahī hai
kuñvārī umañgoñ kī muñh-band kaliyāñ
zar-o-sīm ke Dher meñ tul rahī haiñ
badan kī mahaktī huī chāñdnī meñ
khanaktī huī zulmateñ ghul rahī haiñ
ḳhizāñ ke sunahrī fareboñ meñ aa kar
hayā kā muqaddas chaman luT rahā hai
ye aurat nahīñ ek madfan se jis meñ
ik alhaḌ sī laḌkī kā dam ghuT rahā hai
vo alhaḌ sī laḌkī jo kuchh saal pahle
kisī aarzū kī tarah dil-nashīñ thī
shuā-e-sahar kī tarah thī achhūtī
bahāroñ sitāroñ kā ḳhvāb-e-hasīñ thī
wo laDki wo masum alhaD si laDki
kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi
shua-e-sahar ki tarah thi achhuti
bahaaron sitaron ka KHwab-e-hasin thi
bahaaron sitaron ka wo KHwab lekin
nirali hi tabir mein Dhal raha hai
wo masum dil jo charagh-e-wafa tha
hawas ki bhari bazm mein jal raha hai
wo jalte hue kuchh pasheman bhi hai
nikhar bhi rahi hai magar is jalan se
jamal-e-haqiqat bhi sharma raha hai
banawaT ke is khokhle bankpan se
nadamat ke TuTe hue aansuon ne
tabassum ko aarasta kar diya hai
bilakte hue walwalon ke lahu ne
nigahon mein bhi rang sa bhar diya hai
wo aazad panchhi jo Duba hua tha
nashile sajile KHayalon ke ras mein
baDe naz se bech kar pankh apne
chahakta hai ab maslahat ke qafas mein
jo doshizgi nikhat-e-raegan thi
baDa kar-amad dhuan ban rahi hai
mohabbat bhare dil ki sada si dhaDkan
baDi KHub-surat fughan ban rahi hai
kunwari umangon ki munh-band kaliyan
zar-o-sim ke Dher mein tul rahi hain
badan ki mahakti hui chandni mein
khanakti hui zulmaten ghul rahi hain
KHizan ke sunahri farebon mein aa kar
haya ka muqaddas chaman luT raha hai
ye aurat nahin ek madfan se jis mein
ek alhaD si laDki ka dam ghuT raha hai
wo alhaD si laDki jo kuchh sal pahle
kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi
shua-e-sahar ki tarah thi achhuti
bahaaron sitaron ka KHwab-e-hasin thi
- Book : Sangam (Pg. 72)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.