ek ajnabi laDki
shaam shaam jaisī thī rāstoñ pe halchal thī
kaam karne vaale sab
apnā farz adā kar ke
apne apne maidāñ se
kuchh thake to kuchh haare
apne ghar ko jaate the
bhiiḌ thī dukānoñ par
ghar ko lauTne vaale
aglī sub.h kī ḳhātir
ruk ke maal lete the
har kisī ko jaldī thī
aur shaam Dhaltī thī
ek ham the āvāra
kal na thā koī saudā
is liye saḌak par ham
dhīre dhīre baḌhte the
bhāgte hue logoñ par nigāh karte the
aur un pe hañste the
apnī mastiyoñ meñ gum
be-niyāz duniyā se
aage baḌh rahe the ham
muskurā rahe the ham
lekin ek manzil par
ham ThiThak ga.e ik dam
ek ajnabī laḌkī
ham pe ik nazar kar ke
ḳhuub ḳhuub hañstī thī
muñh ko pher letī thī
phir palaT ke vo ham ko dekhtī thī hañstī thī
jaane apne jaisoñ par
us kī khilkhilāhaT ne
kaun sā asar Daalā
kis ne jaane kyā sochā
kis ne jaane kyā samjhā
hai ḳhabar mujhe apnī
merī mastiyāñ saarī
shaam ke dhundalke meñ
duur hotī jaatī thiiñ
ḳhud pe sharm aatī thī
aur vo shoḳh sī laḌkī
ham pe hañstī jaatī thī
ab mirī nigāhoñ ko apnā dhyān aayā thā
ajnabī sī laḌkī ne dil bahut jalāyā thā
ab maiñ zaat kā apnī ḳhud tavāf kartā thā
apne aks ko apne aa.ine meñ taktā thā
ab niyāz-mandī thī merī be-niyāzī meñ
ab vo ajnabī laḌkī
dūsre ik āvāra
par nigāh kartī thī
us ko dekh kar phir vo
be-panāh hañstī thī
vo ajiib laḌkī thī vo ajiib laḌkī thī
sham sham jaisi thi raston pe halchal thi
kaam karne wale sab
apna farz ada kar ke
apne apne maidan se
kuchh thake to kuchh haare
apne ghar ko jate the
bhiD thi dukanon par
ghar ko lauTne wale
agli subh ki KHatir
ruk ke mal lete the
har kisi ko jaldi thi
aur sham Dhalti thi
ek hum the aawara
kal na tha koi sauda
is liye saDak par hum
dhire dhire baDhte the
bhagte hue logon par nigah karte the
aur un pe hanste the
apni mastiyon mein gum
be-niyaz duniya se
aage baDh rahe the hum
muskura rahe the hum
lekin ek manzil par
hum ThiThak gae ek dam
ek ajnabi laDki
hum pe ek nazar kar ke
KHub KHub hansti thi
munh ko pher leti thi
phir palaT ke wo hum ko dekhti thi hansti thi
jaane apne jaison par
us ki khilkhilahaT ne
kaun sa asar Dala
kis ne jaane kya socha
kis ne jaane kya samjha
hai KHabar mujhe apni
meri mastiyan sari
sham ke dhundalke mein
dur hoti jati thin
KHud pe sharm aati thi
aur wo shoKH si laDki
hum pe hansti jati thi
ab meri nigahon ko apna dhyan aaya tha
ajnabi si laDki ne dil bahut jalaya tha
ab main zat ka apni KHud tawaf karta tha
apne aks ko apne aaine mein takta tha
ab niyaz-mandi thi meri be-niyazi mein
ab wo ajnabi laDki
dusre ek aawara
par nigah karti thi
us ko dekh kar phir wo
be-panah hansti thi
wo ajib laDki thi wo ajib laDki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.