ek aur aadmi
ham
ek jahannam meñ rahte haiñ
na jaane kahāñ se
aag
lahrātī huī aatī hai
hiddat se
hamāre badan jhulasne lagte haiñ
tapish
hamārī sāñsoñ meñ shāmil ho ga.ī hai
maiñ sulagne se bachne ke liye
ek aadmī kī aaḌ meñ ho jaatā huuñ
vo
mujh se pahle sulgegā
maiñ
izāfī lamhe milne par
us kā shukriya adā kartā huuñ
aur bhuul jaatā huuñ
ek aur aadmī
merī aaḌ meñ khaḌā huā hai
hum
ek jahannam mein rahte hain
na jaane kahan se
aag
lahraati hui aati hai
hiddat se
hamare badan jhulasne lagte hain
tapish
hamari sanson mein shamil ho gai hai
main sulagne se bachne ke liye
ek aadmi ki aaD mein ho jata hun
wo
mujh se pahle sulgega
main
izafi lamhe milne par
us ka shukriya ada karta hun
aur bhul jata hun
ek aur aadmi
meri aaD mein khaDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.