kaT gayā din Dhalī shaam shab aa ga.ī
phir zamīñ apne mahvar se ha.Tne lagī
chāñdnī karvaTeñ phir badalne lagī
āhaToñ ke sisakte hue shor se
phir makāñ bhar gayā
zahr sapnoñ kā pī kar
koī aaj kī raat phir mar gayā!
kaT gaya din Dhali sham shab aa gai
phir zamin apne mahwar se haTne lagi
chandni karwaTen phir badalne lagi
aahaTon ke sisakte hue shor se
phir makan bhar gaya
zahr sapnon ka pi kar
koi aaj ki raat phir mar gaya!
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.