raat chup-chāp dabe paañv chale jaatī hai
raat ḳhāmosh hai rotī nahīñ hañstī bhī nahīñ
kāñch kā niilā sā gumbad hai uḌā jaatā hai
ḳhālī ḳhālī koī bajrā sā bahā jaatā hai
chāñd kī kirnoñ meñ vo roz sā resham bhī nahīñ
chāñd kī chiknī Dalī hai ki ghulī jaatī hai
aur sannāToñ kī ik dhuul uḌī jaatī hai
kaash ik baar kabhī niind se uTh kar tum bhī
hijr kī rātoñ meñ ye dekho to kyā hotā hai
raat chup-chap dabe panw chale jati hai
raat KHamosh hai roti nahin hansti bhi nahin
kanch ka nila sa gumbad hai uDa jata hai
KHali KHali koi bajra sa baha jata hai
chand ki kirnon mein wo roz sa resham bhi nahin
chand ki chikni Dali hai ki ghuli jati hai
aur sannaTon ki ek dhul uDi jati hai
kash ek bar kabhi nind se uTh kar tum bhi
hijr ki raaton mein ye dekho to kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.