ek aur shahr
ḳhud-fahmī kā armāñ hai tārīkī meñ rū-posh
tārīkī ḳhud be-chashm-o-gosh!
ik be-pāyāñ ujlat rāhoñ kī alvand!
sīnoñ meñ dil yuuñ jaise chashm-e-āz-e-sayyād
taaza ḳhuuñ ke pyāse afrañgī mardān-e-rād
ḳhud deve-e-āhan ke mānind
dariyā ke do sāhil haiñ aur donoñ hī nāpaid
shar hai dast-e-siyah aur ḳhair kā hāmil rū-e-safed
ik bār-e-mizhgāñ ik lab-e-ḳhand
sab paimāne be-sarfa jab sīm-o-zar mīzān
jab zauq-e-amal kā sar-chashma be-ma.anī hizyān
jab dahshat har lamha jāñ-kand
ye sab ufuqī insān haiñ ye un ke samāvī shahr
kyā phir un kī kamīñ meñ vaqt ke tūfāñ kī ik lahr?
kyā sab vīrānī ke dil-band
KHud-fahmi ka arman hai tariki mein ru-posh
tariki KHud be-chashm-o-gosh!
ek be-payan ujlat rahon ki alwand!
sinon mein dil yun jaise chashm-e-az-e-sayyaad
taza KHun ke pyase afrangi mardan-e-rad
KHud dewe-e-ahan ke manind
dariya ke do sahil hain aur donon hi napaid
shar hai dast-e-siyah aur KHair ka hamil ru-e-safed
ek bar-e-mizhgan ek lab-e-KHand
sab paimane be-sarfa jab sim-o-zar mizan
jab zauq-e-amal ka sar-chashma be-mani hizyan
jab dahshat har lamha jaan-kand
ye sab ufuqi insan hain ye un ke samawi shahr
kya phir un ki kamin mein waqt ke tufan ki ek lahr?
kya sab virani ke dil-band
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.