ek bachcha aur jugnu ki baaten
sunā.ūñ tumheñ baat ik raat kī
ki vo raat añdherī thī barsāt kī
chamakne se jugnū ke thā ik samāñ
havā par uḌiiñ jaise chiñgāriyāñ
paḌī ek bachche kī un pe nazar
pakaḌ hī liyā ek ko dauḌ kar
chamakdār kiiḌā jo bhāyā use
to Topī meñ jhaT-paT chhupāyā use
vo jham jham chamaktā idhar se udhar
phirā koī rasta na paayā magar
to ġhamgīn qaidī ne kī iltijā
jugnū
ai chhoTe shikārī mujhe kar rihā
ḳhudā ke liye tū mujhe chhoḌ de
merī qaid ke jaal ko toḌ de
bachcha
karūñgā na āzād us vaqt tak
ki maiñ dekh luuñ din meñ terī chamak
jugnū
chamak merī din meñ na dekhoge tum
ujāle meñ ho jā.egī vo to gum
bachcha
are chhoTe kiiḌe na de dam mujhe
ki hai vāqafiyyat abhī kam tujhe
ujāle meñ din ke khulegā kamāl
ki itne se kiiḌe meñ kyā hai kamāl
dhuāñ hai na sho.ala na garmī na aañch
chamakne kī tere karūñgā maiñ jāñch
jugnū
ye qudrat kī kārīgarī hai janāb
ki zarra ko chamkā.e juuñ āftāb
mujhe dī hai is vāste ye chamak
ki tum dekh kar mujh ko jaao ThiThak
na alhaḌ-pane se karo pā.emāl
sañbhal kar chalo aadmī kī sī chaal
sunaun tumhein baat ek raat ki
ki wo raat andheri thi barsat ki
chamakne se jugnu ke tha ek saman
hawa par uDin jaise chingariyan
paDi ek bachche ki un pe nazar
pakaD hi liya ek ko dauD kar
chamakdar kiDa jo bhaya use
to Topi mein jhaT-paT chhupaya use
wo jham jham chamakta idhar se udhar
phira koi rasta na paya magar
to ghamgin qaidi ne ki iltija
jugnu
ai chhoTe shikari mujhe kar riha
KHuda ke liye tu mujhe chhoD de
meri qaid ke jal ko toD de
bachcha
karunga na aazad us waqt tak
ki main dekh lun din mein teri chamak
jugnu
chamak meri din mein na dekhoge tum
ujale mein ho jaegi wo to gum
bachcha
are chhoTe kiDe na de dam mujhe
ki hai waqafiyyat abhi kam tujhe
ujale mein din ke khulega kamal
ki itne se kiDe mein kya hai kamal
dhuan hai na shoala na garmi na aanch
chamakne ki tere karunga main jaanch
jugnu
ye qudrat ki karigari hai janab
ki zarra ko chamkae jun aaftab
mujhe di hai is waste ye chamak
ki tum dekh kar mujh ko jao ThiThak
na alhaD-pane se karo paemal
sanbhal kar chalo aadmi ki si chaal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.