ek bachcha
aaj se pahle merā ghar
soyā soyā rahtā thā
sūraj roz nikaltā thā
roz saverā hotā thā
āñgan meñ dīvāroñ par
dhuup chamaktī rahtī thī
ghar kī ik ik khiḌkī meñ
nuur kī naddī bahtī thī
saarā saarā din chhat par
kaage shor machāte the
nal nīche paanī piine
roz kabūtar aate the
darvāze par dastak kī
mohreñ chamkā kartī thiiñ
sard havā.eñ pardoñ meñ
ThanDī aa.heñ bhartī haiñ
udhar idhar jaatī galiyāñ
dhuum machāyā kartī thiiñ
anjāne jaane būjhe
giit sunāyā kartī thiiñ
lekin phir bhī merā ghar
soyā soyā rahtā thaa!
ghar kā ik ik darvāza
khoyā khoyā rahtā thaa!
aaj magar ik nau-vārid
bachche kā ronā sun kar
chauñk paḌe dīvār-o-dar
jaag uThā hai merā ghar
aaj se pahle mera ghar
soya soya rahta tha
suraj roz nikalta tha
roz sawera hota tha
aangan mein diwaron par
dhup chamakti rahti thi
ghar ki ek ek khiDki mein
nur ki naddi bahti thi
sara sara din chhat par
kage shor machate the
nal niche pani pine
roz kabutar aate the
darwaze par dastak ki
mohren chamka karti thin
sard hawaen pardon mein
ThanDi aahen bharti hain
udhar idhar jati galiyan
dhum machaya karti thin
anjaane jaane bujhe
git sunaya karti thin
lekin phir bhi mera ghar
soya soya rahta tha!
ghar ka ek ek darwaza
khoya khoya rahta tha!
aaj magar ek nau-warid
bachche ka rona sun kar
chaunk paDe diwar-o-dar
jag uTha hai mera ghar
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.