ek bimar subh
agar māzūr ho
chustī se pur logoñ ko dekho
añdhere muñh vo, ik aḳhbār vaalā
guzishta roz kī sab lānatoñ ko roll kar ke
tumhāre band darvāze pe
kab kā pheñk kar jā bhī chukā hai
tumhārā duudh vaalā
shīr-ḳhvāroñ kī sub.h hone se pahle
duudh de kar jā chukā hai
agar māzūr ho
khiḌkī ke shīshoñ se chipak kar baiTh jaao
aur dekho
ki ye schōl jaate huur o ġhilmāñ
kitne bhārī bag thāme
hañste gaate jā rahe haiñ
un ke sar ke Thiik uupar
chahchahāte ġhol chiḌiyoñ ke
talāsh-e-rizq meñ jaate hue dekho
agar māzūr ho
shāmil nahīñ ho gahmāgahmī meñ
to kyā
khiḌkī ke shīshoñ se chipak kar baiTh jaao
agar mazur ho
chusti se pur logon ko dekho
andhere munh wo, ek aKHbar wala
guzishta roz ki sab lanaton ko roll kar ke
tumhaare band darwaze pe
kab ka phenk kar ja bhi chuka hai
tumhaara dudh wala
shir-KHwaron ki subh hone se pahle
dudh de kar ja chuka hai
agar mazur ho
khiDki ke shishon se chipak kar baiTh jao
aur dekho
ki ye school jate hur o ghilman
kitne bhaari bag thame
hanste gate ja rahe hain
un ke sar ke Thik upar
chahchahate ghol chiDiyon ke
talash-e-rizq mein jate hue dekho
agar mazur ho
shamil nahin ho gahmagahmi mein
to kya
khiDki ke shishon se chipak kar baiTh jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.