ek chhoTi si nazm
maiñ ne apne aap ko kueñ meñ Dhakelā
aur qahqahe lagā.e
kyoñ ki maiñ nahīñ jāntā thā
ki ye aisā kuaañ hai
jis se nikalnā mumkin nahīñ
maiñ samajhtā thā ki maiñ ne ek bahut baḌā kār-nāma anjām diyā hai
ab mere qahqahoñ ko
log sunte haiñ
aur un kī āñkhoñ se
aañsū bahte haiñ
main ne apne aap ko kuen mein Dhakela
aur qahqahe lagae
kyon ki main nahin jaanta tha
ki ye aisa kuan hai
jis se nikalna mumkin nahin
main samajhta tha ki main ne ek bahut baDa kar-nama anjam diya hai
ab mere qahqahon ko
log sunte hain
aur un ki aankhon se
aansu bahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.