ek chiDiya
jāmun kī ik shāḳh pe baiThī ik chiḌiyā
hare hare pattoñ meñ chhap kar gaatī hai
nanhe nanhe tiir chalā.e jaatī hai
aur phir apne aap hī kuchh uktā.ī sī
chuuñ chuuñ kartī par tole uḌ jaatī hai
dhundlā dhundlā daaġh sā bantī jaatī hai
maiñ apne āñgan meñ khoyā khoyā sā
āhista āhista ghultā jaatā huuñ
kisī parinde ke par sā lahrātā huuñ
duur gagan kī ujyālī peshānī par
dhundlā dhundlā daaġh sā bantā jaatā huuñ
jamun ki ek shaKH pe baiThi ek chiDiya
hare hare patton mein chhap kar gati hai
nanhe nanhe tir chalae jati hai
aur phir apne aap hi kuchh uktai si
chun chun karti par tole uD jati hai
dhundla dhundla dagh sa banti jati hai
main apne aangan mein khoya khoya sa
aahista aahista ghulta jata hun
kisi parinde ke par sa lahraata hun
dur gagan ki ujyali peshani par
dhundla dhundla dagh sa banta jata hun
- Book : sheerazah (Pg. 144)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.