ek cigarette thi
tez mahkār
phir lahariye-dār tasvīr meñ Dhal ga.ī
ek cigarette thī jal ga.ī
dūsrī tere hāthoñ meñ aa ke sulagne lagī
raakh jhaḌne lagī
rākh-dāñ is november kā bhar jā.egā
aur bhī āḳhir āḳhir aa.e aa.egā
raakh se uḌtī chiñgāriyoñ se bharā ek din
kab kā sūraj kī āñkhoñ meñ rakkhā huā
raat ke is kināre pe Tāñkā huā chāñd hairān hai
dhuñd atrāf meñ to dhueñ hī se aamez hai
aañch kyoñ tez hai
zard patte dahakne lage chaar sū
phir zamistāñ kī sāñsoñ meñ
ghulne lagī hai koī aarzū
tez mahkār hai
tez mahkar
phir lahariye-dar taswir mein Dhal gai
ek cigarette thi jal gai
dusri tere hathon mein aa ke sulagne lagi
rakh jhaDne lagi
rakh-dan is nowember ka bhar jaega
aur bhi aaKHir aaKHir aae aaega
rakh se uDti chingariyon se bhara ek din
kab ka suraj ki aankhon mein rakkha hua
raat ke is kinare pe Tanka hua chand hairan hai
dhund atraf mein to dhuen hi se aamez hai
aanch kyon tez hai
zard patte dahakne lage chaar su
phir zamistan ki sanson mein
ghulne lagi hai koi aarzu
tez mahkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.