ek clerk laDki
jism hai terā rañg kī duniyā
ruup hai terā nuur kī vaadī
tū bhī majbūr hai clerkī par
ai clerkoñ ke dil kī shahzādī
terī āñkheñ surūr kā mandir
terī zulfeñ bahār kā maskan
aur Type kī gat pe nāchtā hai
terā doshīza naġhma.ī joban
tere un ārizoñ ke phūloñ par
gulistāñ kā gumān hotā hai
aur terā ġhurūr-e-zebā.ī
filoñ se lipaT ke rotā hai
apnī zau se jhijak rahā hai charāġh
tujh se Dartī hai terī parchhā.īñ
zindagī kī zarūrateñ tujh ko
kin ajab rāstoñ pe le aa.eñ
tū bhī vo she.r-e-dil-nashīñ hai jise
aaj tak koī qadr-dāñ na milā
ḳhud sarāpā bahār hai lekin
terā apnā chaman kabhī na khilā
aaj tak tū ne zaḳhm khaa.e haiñ
rañg-afshāñ guloñ ke dhoke meñ
aa sajā luuñ tire tajassus ko
apne ehsās ke jharoke meñ
aa.ina kis liye hai zañg-ālūd
phuul kī pañkhuḌī pe sil kyuuñ hai
dekh kar tujh ko sochtā huuñ maiñ
zindagī itnī tañg-dil kyuuñ hai
jism hai tera rang ki duniya
rup hai tera nur ki wadi
tu bhi majbur hai clerki par
ai clerkon ke dil ki shahzadi
teri aankhen surur ka mandir
teri zulfen bahaar ka maskan
aur Type ki gat pe nachta hai
tera doshiza naghmai joban
tere un aarizon ke phulon par
gulistan ka guman hota hai
aur tera ghurur-e-zebai
filon se lipaT ke rota hai
apni zau se jhijak raha hai charagh
tujh se Darti hai teri parchhain
zindagi ki zaruraten tujh ko
kin ajab raston pe le aaen
tu bhi wo sher-e-dil-nashin hai jise
aaj tak koi qadr-dan na mila
KHud sarapa bahaar hai lekin
tera apna chaman kabhi na khila
aaj tak tu ne zaKHm khae hain
rang-afshan gulon ke dhoke mein
aa saja lun tere tajassus ko
apne ehsas ke jharoke mein
aaina kis liye hai zang-alud
phul ki pankhuDi pe sil kyun hai
dekh kar tujh ko sochta hun main
zindagi itni tang-dil kyun hai
- Book : Sangam (Pg. 57)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.