ek daraKHt ki dahshat
maiñ kulhāḌe se nahīñ Darā
na kabhī aare se
maiñ to ḳhud kulhāḌe ke phal aur aare ke daste se juḌā huuñ
maiñ chāhtā huuñ
koī aañkh mere badan meñ utre
mere dil tak pahuñche
koī mohtāt aarī
koī mashshāq haath mujhe tarāsh kar
mallāhoñ ke liye kashtiyāñ
aur maktab ke bachchoñ ke liye taḳhtiyāñ banā.e
is se pahle
ki merī jaḌeñ būḌhī daaḌh kī tarah hilne lageñ
yā merī ḳhushk Tahniyāñ aapas meñ ragaḌ khā kar jañgal kī aag ban jaa.eñ
main kulhaDe se nahin Dara
na kabhi aare se
main to KHud kulhaDe ke phal aur aare ke daste se juDa hun
main chahta hun
koi aankh mere badan mein utre
mere dil tak pahunche
koi mohtat aari
koi mashshaq hath mujhe tarash kar
mallahon ke liye kashtiyan
aur maktab ke bachchon ke liye taKHtiyan banae
is se pahle
ki meri jaDen buDhi daDh ki tarah hilne lagen
ya meri KHushk Tahniyan aapas mein ragaD kha kar jangal ki aag ban jaen
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 228)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.