Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dil ek aawaz

Takmiil Rizvi Lakhnavi

ek dil ek aawaz

Takmiil Rizvi Lakhnavi

MORE BYTakmiil Rizvi Lakhnavi

    amal azm iḳhlās-e-niyyat zarūrat hai

    vatan se ai vatan vaalo mohabbat zarūrat hai

    zarūrat hai ki ik dil aur ik āvāz ho jaao

    haqīqat to yahī hai ab haqīqat zarūrat hai

    kahāñ tak millatoñ ke iḳhtilāfāt aa.e din hoñge

    har ik millat se ab to mail-e-millat zarūrat hai

    zabānī ḳhādim-e-mulk-o-vatan banñā to hai āsāñ

    agar maḳhdūm banñā hai to ḳhidmat zarūrat hai

    tumhārā har amal kirdār-e-indirā namūna ho

    muravvat sadāqat hamiyyat zarūrat hai

    ḳhayālī jannateñ bantī rahīñ bazm-e-tasavvur meñ

    amal se jo bane ab aisī jannat zarūrat hai

    zabāñ se jo kaho apnī vahī dil tarāna ho

    ham-āhangī ko bhī sāz-e-haqīqat zarūrat hai

    faqat phūloñ ḳhush-rangī se ai 'takmīl' kyā hāsil

    jo duniyā ko basānā hai to nik.hat zarūrat hai

    amal ki azm ki iKHlas-e-niyyat ki zarurat hai

    watan se ai watan walo mohabbat ki zarurat hai

    zarurat hai ki ek dil aur ek aawaz ho jao

    haqiqat to yahi hai ab haqiqat ki zarurat hai

    kahan tak millaton ke iKHtilafat aae din honge

    har ek millat se ab to mail-e-millat ki zarurat hai

    zabani KHadim-e-mulk-o-watan banna to hai aasan

    agar maKHdum banna hai to KHidmat ki zarurat hai

    tumhaara har amal kirdar-e-indira ka namuna ho

    murawwat ki sadaqat ki hamiyyat ki zarurat hai

    KHayali jannaten banti rahin bazm-e-tasawwur mein

    amal se jo bane ab aisi jannat ki zarurat hai

    zaban se jo kaho apni wahi dil ka tarana ho

    ham-ahangi ko bhi saz-e-haqiqat ki zarurat hai

    faqat phulon ki KHush-rangi se ai 'takmil' kya hasil

    jo duniya ko basana hai to nikhat ki zarurat hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now