amal kī azm kī iḳhlās-e-niyyat kī zarūrat hai
vatan se ai vatan vaalo mohabbat kī zarūrat hai
zarūrat hai ki ik dil aur ik āvāz ho jaao
haqīqat to yahī hai ab haqīqat kī zarūrat hai
kahāñ tak millatoñ ke iḳhtilāfāt aa.e din hoñge
har ik millat se ab to mail millat kī zarūrat hai
zabānī ḳhādim-e-mulk-o-vatan banñā to hai āsāñ
agar maḳhdūm banñā hai to ḳhidmat kī zarūrat hai
tumhārā har amal kirdār-e-indirā kā namūna ho
muravvat kī sadāqat kī hamiyyat kī zarūrat hai
ḳhayālī jannateñ bantī rahīñ bazm-e-tasavvur meñ
amal se jo bane ab aisī jannat kī zarūrat hai
zabāñ se jo kaho apnī vahī dil kā tarāna ho
ham-āhangī ko bhī sāz-e-haqīqat kī zarūrat hai
faqat phūloñ kī ḳhush-rangī se ai 'takmīl' kyā hāsil
jo duniyā ko basānā hai to nik.hat kī zarūrat hai
amal ki azm ki iKHlas-e-niyyat ki zarurat hai
watan se ai watan walo mohabbat ki zarurat hai
zarurat hai ki ek dil aur ek aawaz ho jao
haqiqat to yahi hai ab haqiqat ki zarurat hai
kahan tak millaton ke iKHtilafat aae din honge
har ek millat se ab to mail millat ki zarurat hai
zabani KHadim-e-mulk-o-watan banna to hai aasan
agar maKHdum banna hai to KHidmat ki zarurat hai
tumhaara har amal kirdar-e-indira ka namuna ho
murawwat ki sadaqat ki hamiyyat ki zarurat hai
KHayali jannaten banti rahin bazm-e-tasawwur mein
amal se jo bane ab aisi jannat ki zarurat hai
zaban se jo kaho apni wahi dil ka tarana ho
ham-ahangi ko bhi saz-e-haqiqat ki zarurat hai
faqat phulon ki KHush-rangi se ai 'takmil' kya hasil
jo duniya ko basana hai to nikhat ki zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.