Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek din ki baadshahi

Bilqis Zafirul Hasan

ek din ki baadshahi

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    nannhī ek guḌiyā rippo daman hamārī

    jaisā hai naam un vaisī adā.eñ saarī

    itnī umr meñ bhī fitne uThā.eñ kyā kyā

    pinkī ke gaal noche bablū ko khasoTā

    kis majāl un zid Taal jaa.e koī

    mummy ye dulārī ye jaan paapā

    teacher's day meñ ab ke vo ban ga.iiñ principal

    kyā yādgār din thā kaisī machī thī halchal

    bhārī saaḌī bāñdhī sar par baḌā juuḌā

    ye ruup dekh un kāñpā class puurā

    ik ik note-bōk meñ ġhalatī nikālī us ne

    jo do ko maarā thappaḌ to chaar kaan aiñThe

    sab sar jhukā.e baiThe rote bisorte the

    kal dekh leñge is ko chup-chāp sochte the

    lekin hamārī rippo kab kis se ye Darī thī

    sab ke nikāle kas-bal ik ik kar chhuTTī

    yuuñ ro.ab jhāḌne meñ vo din magar gayā thā

    ik din bādshāhī meñ kis qadar mazā thā

    nannhi si ek guDiya rippo daman hamari

    jaisa hai nam un ka waisi adaen sari

    itni si umr mein bhi fitne uThaen kya kya

    pinki ke gal noche bablu ko ja khasoTa

    kis ki majal un ki zid Tal jae koi

    mummy ki ye dulari ye jaan papa ji ki

    teacher's day mein ab ke wo ban gain principal

    kya yaadgar din tha kaisi machi thi halchal

    bhaari si saDi bandhi sar par baDa sa juDa

    ye rup dekh un ka kanpa class pura

    ek ek ki note-book mein ghalati nikali us ne

    jo do ko mara thappaD to chaar kan ainThe

    sab sar jhukae baiThe rote bisorte the

    kal dekh lenge is ko chup-chap sochte the

    lekin hamari rippo kab kis se ye Dari thi

    sab ke nikale kas-bal ek ek ki kar di chhuTTi

    yun roab jhaDne mein wo din magar gaya tha

    ek din ki baadshahi mein kis qadar maza tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now