ek din manaya jaana chahiye
ek din manāyā jaanā chāhiye
merā bhī
saañs kī be-āvāz lahroñ par
tairtī zindagī ke saath
be-nishān sāhiloñ par
bikhrī sīpiyoñ ke hamrāh
sard mausamoñ meñ
kuuch kar jaane vaale parindoñ ke sañg
anjān sar-zamīnoñ par
kisī an-dekhe rañg ke
phuul kī pattiyoñ se phūTtī
pur-asrār ḳhushbū ke bāzūoñ meñ
tum manāte ho mother day
aur hisār meñ rahte ho
māmtā ke nuur ke
tum manāte ho father day
aur ghane daraḳhtoñ kī chhāñv
mahsūs karte ho
tum manāte ho valentine day
aur apnī mahbūba ke sāmne
suraḳh-rū Thaharte ho
tumhārā dil tavāf kartā rahtā hai
be-pāyāñ mohabbatoñ kā
aur tum mohabbat kā har din manāte ho
dukāneñ saj jaatī haiñ
rañg-birañge phūloñ se
chokleT aur cake kī miThās se
qīmateñ muḳhtalif sahī
magar iz.hār kī sakat
tumhārī quvvat-e-ḳharīd meñ rahtī hai
maiñ tumhāre baap kī mohabbat kā
har rañg
har zā.iqa jāntī huuñ
ek din manāyā jaanā chāhiye
merā bhī
mujhe ma.alūm hai
tum ye din manā sakte ho
magar ye din
saare dinoñ meñ sarāyat kar gayā hai
tum use nahīñ DhūñD sakte
koī ek din muḳhtas bhī kar do
to us kā unvān
tumhāre iz.hār kī sakat se bāhar hai
ek din manaya jaana chahiye
mera bhi
sans ki be-awaz lahron par
tairti zindagi ke sath
be-nishan sahilon par
bikhri sipiyon ke hamrah
sard mausamon mein
kuch kar jaane wale parindon ke sang
anjaan sar-zaminon par
kisi an-dekhe rang ke
phul ki pattiyon se phuTti
pur-asrar KHushbu ke bazuon mein
tum manate ho mother day
aur hisar mein rahte ho
mamta ke nur ke
tum manate ho father day
aur ghane daraKHton ki chhanw
mahsus karte ho
tum manate ho walentine day
aur apni mahbuba ke samne
suraKH-ru Thaharte ho
tumhaara dil tawaf karta rahta hai
be-payan mohabbaton ka
aur tum mohabbat ka har din manate ho
dukanen saj jati hain
rang-birange phulon se
chokleT aur cake ki miThas se
qimaten muKHtalif sahi
magar izhaar ki sakat
tumhaari quwwat-e-KHarid mein rahti hai
main tumhaare bap ki mohabbat ka
har rang
har zaiqa jaanti hun
ek din manaya jaana chahiye
mera bhi
mujhe malum hai
tum ye din mana sakte ho
magar ye din
sare dinon mein sarayat kar gaya hai
tum use nahin DhunD sakte
koi ek din muKHtas bhi kar do
to us ka unwan
tumhaare izhaar ki sakat se bahar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.