ek dost ke nam
laḌkī!
ye lamhe bādal haiñ
guzar ga.e to haath kabhī nahīñ ā.eñge
in ke lams ko piitī jā
qatra qatra bhīgtī jā
bhīgtī jā tū jab tak in meñ nam hai
aur tire andar kī miTTī pyāsī hai
mujh se pūchh
ki bārish ko vāpas aane kā rasta kabhī na yaad huā
baal sukhāne ke mausam an-paḌh hote haiñ!
laDki!
ye lamhe baadal hain
guzar gae to hath kabhi nahin aaenge
in ke lams ko piti ja
qatra qatra bhigti ja
bhigti ja tu jab tak in mein nam hai
aur tere andar ki miTTi pyasi hai
mujh se puchh
ki barish ko wapas aane ka rasta kabhi na yaad hua
baal sukhane ke mausam an-paDh hote hain!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 215)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.