ek dost ki KHush-mazaqi par
ho nahīñ saktā tirī is ''ḳhush-mazāqī'' kā javāb
shaam kā dilkash samāñ aur tere hāthoñ meñ kitāb
rakh bhī de ab is kitāb-e-ḳhushk ko bālā-e-tāq
uḌ rahā hai rañg-o-bū kī bazm meñ terā mazāq
chhup rahā hai parda-e-maġhrib meñ mahr-e-zar-fishāñ
diid ke qābil haiñ bādal meñ shafaq kī surḳhiyāñ
maujzan jū-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahāb
jis tarah rañgīn shīshoñ meñ jhalaktī hai sharāb
ik nigārish-e-ātishīñ har shai pe hai chhāyā huā
jaise aariz par urūs-e-nau ke ho rañg-e-hayā
shāna-e-gītī pe lahrāne ko haiñ gesū-e-shab
āsmāñ meñ mun.aqid hone ko hai bazm-e-tarab
uḌ rahe haiñ justujū meñ āshiyānoñ ke tuyūr
aa chalā hai aa.ine meñ chāñd ke halkā sā nuur
dekh kar ye shaam ke nazzāra-hā-e-dil-nashīñ
kyā tire dil meñ zarā bhī gudgudī hotī nahīñ
kyā tirī nazroñ meñ ye rañgīniyāñ bhātī nahīñ
kyā havā-e-sard tere dil ko taḌpātī nahīñ
kyā nahīñ hotī tujhe mahsūs mujh ko sach batā
tez jhoñkoñ meñ havā ke gungunāne kī sadā
sabza-o-gul dekh kar tujh ko ḳhushī hotī nahīñ
uf tire ehsās meñ itnī bhī rañgīnī nahīñ
husn-e-fitrat kī latāfat kā jo tū qaa.el nahīñ
maiñ ye kahtā huuñ tujhe jiine kā haq hāsil nahīñ
ho nahin sakta teri is KHush-mazaqi ka jawab
sham ka dilkash saman aur tere hathon mein kitab
rakh bhi de ab is kitab-e-KHushk ko baala-e-taq
uD raha hai rang-o-bu ki bazm mein tera mazaq
chhup raha hai parda-e-maghrib mein mahr-e-zar-fishan
did ke qabil hain baadal mein shafaq ki surKHiyan
maujzan ju-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahab
jis tarah rangin shishon mein jhalakti hai sharab
ek nigarish-e-atishin har shai pe hai chhaya hua
jaise aariz par urus-e-nau ke ho rang-e-haya
shana-e-giti pe lahrane ko hain gesu-e-shab
aasman mein munaqid hone ko hai bazm-e-tarab
uD rahe hain justuju mein aashiyanon ke tuyur
aa chala hai aaine mein chand ke halka sa nur
dekh kar ye sham ke nazzara-ha-e-dil-nashin
kya tere dil mein zara bhi gudgudi hoti nahin
kya teri nazron mein ye ranginiyan bhati nahin
kya hawa-e-sard tere dil ko taDpati nahin
kya nahin hoti tujhe mahsus mujh ko sach bata
tez jhonkon mein hawa ke gungunane ki sada
sabza-o-gul dekh kar tujh ko KHushi hoti nahin
uf tere ehsas mein itni bhi rangini nahin
husn-e-fitrat ki latafat ka jo tu qael nahin
main ye kahta hun tujhe jine ka haq hasil nahin
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.