ek dua
raat se pahle mujhe faisla karnā hai koī
raat aa.egī to phir saath hī aa jā.eñge
saare andeshe mire aur mire vasvase sab
dahrī socheñ mirī
saath tazabzub merā
raat kā sehr-o-fusūñ
mujhe be-yār-o-madadgār sā kar Dālegā
mujhe kar degā vo kamzor bhī aur buzdil bhī
mire ma.abūd
aaj ke din ko Thahar jaane ke ahkām sunā
raat se pahle mujhe faisla karna hai koi
raat aaegi to phir sath hi aa jaenge
sare andeshe mere aur mere waswase sab
dahri sochen meri
sath tazabzub mera
raat ka sehr-o-fusun
mujhe be-yar-o-madadgar sa kar Dalega
mujhe kar dega wo kamzor bhi aur buzdil bhi
mere mabud
aaj ke din ko Thahar jaane ke ahkaam suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.