ek flirt laDki
mujh se bhī vo miltī thī
us ke hoñT gulābī the
us kī aañkh meñ mastī thī
maiñ bhī bhūlā-bhaTkā sā
vo bhī bhūlī-bhaTkī thī
shahr kī har ābād saḌak!
us ke ghar ko jaatī thii!
lekin vo kyā kartī thii!
laḌkī thī ki pahelī thii!
ulTe-sīdhe rastoñ par
āñkheñ Dhāñp ke chaltī thī
bhīgī bhīgī rātoñ meñ
tanhā tanhā rotī thī
maile maile kapḌoñ meñ
ujlī ujlī lagtī thī
us ke saare ḳhvāb na.e
aur ta.abīr purānī thī
mujh se bhi wo milti thi
us ke honT gulabi the
us ki aankh mein masti thi
main bhi bhula-bhaTka sa
wo bhi bhuli-bhaTki thi
shahr ki har aabaad saDak!
us ke ghar ko jati thi!
lekin wo kya karti thi!
laDki thi ki paheli thi!
ulTe-sidhe raston par
aankhen Dhanp ke chalti thi
bhigi bhigi raaton mein
tanha tanha roti thi
maile maile kapDon mein
ujli ujli lagti thi
us ke sare KHwab nae
aur tabir purani thi
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 95)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.