ek ghair aham fard ke liye
maasī dahī bilonā
ḳhālī naañd kī baasī ḳhushbū
suunā baaḌā
bhūkī gaay
tumheñ bulātī hai
mailī oḌhnī aur sutlī ke jhūle meñ soyā huā potā jaag uThā hai
aur apne maḳhsūs raag meñ
reñ reñ kartā hai
gahrī niiñd meñ soī huī tumhārī nuuñ
jaag uThī to chillā.egī
chūlhā ab tak ThanDā hai
uple os meñ bhiig rahe haiñ
unheñ uThāo nā maasī
dahī bilonā
chhappar par phailī huī torī kī beloñ meñ
batiyā aanī shurūa huī hai
pichhvāḌe se
chaulā.ī kā saag kupaT kar laao naañ
maasī dahī bilonā
beTā khet se aatā hogā
abhī bahū chillā.egī
dekho sūraj
kachchī dīvāroñ ke pīchhe jhāñk rahā hai
aaj diyā kyā saarī raat jalāyā thā
diye meñ qatra tel nahīñ hai
ab kyā hogā
abhī bahū chillā.egī
thoḌī dhuup utar aa.ī hai
aadhī chatā.ī kal bin lī thī
na.ī muunj kal raat hī laḌkā laayā hai
achchhī muunj hai
is se hathelī kam chhiltī hai
poreñ kam zaḳhmī hotī haiñ
aadhī chatā.ī baaqī hai
uTTho maasī muunj rañgo
abhī bahū chillā.egī
puurī dhuup utar aa.ī hai
kāñTe chunñe īñdhan laane jañgal bhī to jaanā hai
bakrī kī pevsī jo raat jamā.ī thī
vo beTī ke ghar kab bhejogī
maasī tumhāre hoñT bhiñche hue kyoñ haiñ
khokhle siine pople muñh kī dhoñknī āḳhir band hai kyoñ
ḳhufiya jeb kī nichlī tah meñ
chhipī huī ik umr kī pūñjī
das kā pattā
galā huā bad-rañg sā kāġhaz
jis ke liye tumhārī nuuñ
sūkhā maas khakhoḌ rahī hai
maasī ab uTh jaao nā
maasī dahī bilonā
ḳhālī naañd kī baasī ḳhushbū
suunā baaḌā
bhūkī gaay
tumheñ bulātī hai
masi dahi bilona
KHali nand ki basi KHushbu
suna baDa
bhuki gay
tumhein bulati hai
maili oDhni aur sutli ke jhule mein soya hua pota jag uTha hai
aur apne maKHsus rag mein
ren ren karta hai
gahri nind mein soi hui tumhaari nun
jag uThi to chillaegi
chulha ab tak ThanDa hai
uple os mein bhig rahe hain
unhen uThao na masi
dahi bilona
chhappar par phaili hui tori ki belon mein
batiya aani shurua hui hai
pichhwaDe se
chaulai ka sag kupaT kar lao nan
masi dahi bilona
beTa khet se aata hoga
abhi bahu chillaegi
dekho suraj
kachchi diwaron ke pichhe jhank raha hai
aaj diya kya sari raat jalaya tha
diye mein qatra tel nahin hai
ab kya hoga
abhi bahu chillaegi
thoDi dhup utar aai hai
aadhi chatai kal bin li thi
nai munj kal raat hi laDka laya hai
achchhi munj hai
is se hatheli kam chhilti hai
poren kam zaKHmi hoti hain
aadhi chatai baqi hai
uTTho masi munj rango
abhi bahu chillaegi
puri dhup utar aai hai
kanTe chunne indhan lane jangal bhi to jaana hai
bakri ki pewsi jo raat jamai thi
wo beTi ke ghar kab bhejogi
masi tumhaare honT bhinche hue kyon hain
khokhle sine pople munh ki dhonkni aaKHir band hai kyon
KHufiya jeb ki nichli tah mein
chhipi hui ek umr ki punji
das ka patta
gala hua bad-rang sa kaghaz
jis ke liye tumhaari nun
sukha mas khakhoD rahi hai
masi ab uTh jao na
masi dahi bilona
KHali nand ki basi KHushbu
suna baDa
bhuki gay
tumhein bulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.