ek ghamgin yaad
mire pahlū-ba-pahlū jab vo chaltī thī gulistāñ meñ
farāz-e-āsmāñ par kahkashāñ hasrat se taktī thī
mohabbat jab chamak uThtī thī us kī chashm-e-ḳhandāñ meñ
ḳhamistān-e-falak se nuur kī sahbā chhalaktī thī
mire baazū pe jab vo zulf-e-shab-gūñ khol detī thī
zamāna nik.hat-e-ḳhuld-e-barīñ meñ Duub jaatā thā
mire shāne pe jab sar rakh ke ThanDī saañs letī thī
mirī duniyā meñ soz-o-sāz kā tūfān aatā thā
vo merā sher jab merī hī lai meñ gungunātī thī
manāzir jhūmte the bām-o-dar ko vajd aatā thā
mirī ā.ankhoñ meñ āñhkeñ Daal kar jab muskurātī thī
mire zulmat-kade kā zarra zarra jagmagātā thā
umañD aate the jab ashk-e-mohabbat us kī palkoñ tak
Tapaktī thī dar-o-dīvār se shoḳhī tabassum kī
jab us ke hoñT aa jaate the az ḳhud mere hoñToñ tak
jhapak jaatī thiiñ āñhkeñ āsmāñ par maah o anjum kī
vo jab hañgām-e-ruḳhsat dekhtī thī mujh ko muḌ muḌ kar
to ḳhud fitrat ke dil meñ mahshar-e-jazbāt hotā thā
vo mahv-e-ḳhvāb jab hotī thī apne narm bistar par
to us ke sar pe maryam kā muqaddas haath hotā thā
ḳhabar kyā thī ki vo ik roz mujh ko bhuul jā.egī
aur us kī yaad mujh ko ḳhuun ke aañsū rulā.egī
mere pahlu-ba-pahlu jab wo chalti thi gulistan mein
faraaz-e-asman par kahkashan hasrat se takti thi
mohabbat jab chamak uThti thi us ki chashm-e-KHandan mein
KHamistan-e-falak se nur ki sahba chhalakti thi
mere bazu pe jab wo zulf-e-shab-gun khol deti thi
zamana nikhat-e-KHuld-e-barin mein Dub jata tha
mere shane pe jab sar rakh ke ThanDi sans leti thi
meri duniya mein soz-o-saz ka tufan aata tha
wo mera sher jab meri hi lai mein gungunati thi
manazir jhumte the baam-o-dar ko wajd aata tha
meri aaankhon mein aanhken Dal kar jab muskuraati thi
mere zulmat-kade ka zarra zarra jagmagata tha
umanD aate the jab ashk-e-mohabbat us ki palkon tak
Tapakti thi dar-o-diwar se shoKHi tabassum ki
jab us ke honT aa jate the az KHud mere honTon tak
jhapak jati thin aanhken aasman par mah o anjum ki
wo jab hangam-e-ruKHsat dekhti thi mujh ko muD muD kar
to KHud fitrat ke dil mein mahshar-e-jazbaat hota tha
wo mahw-e-KHwab jab hoti thi apne narm bistar par
to us ke sar pe maryam ka muqaddas hath hota tha
KHabar kya thi ki wo ek roz mujh ko bhul jaegi
aur us ki yaad mujh ko KHun ke aansu rulaegi
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.