ek guzarish
shikasta huuñ magar daulat bhī hai hāsil huī ham ko
guzāre saath jo pal qadr us kī ho nahīñ kis ko
bane sarmāya haiñ vo zindagī kā pyaar se rakhnā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
yahī yādeñ haiñ le jā.eñgī ham ko āḳhrī dam tak
na koī ham-safar hogā na jā.egā koī ghar tak
ye ghar ehsās kā hogā merā ehsās mat lenā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
hai khelī pyaar kī baazī na jiitā maiñ na tum haarī
lagā.egī ye duniyā zarb apne dam se hī kaarī
ye tai hai zaḳhm māñgegā koī marham lagā denā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
mile ham ittifāqan the magar rāheñ lagīñ yaksāñ
kabhī dushvāriyāñ apnī kabhī manzil rahī pinhāñ
ye hotā rahtā hai aksar jo rūThe dil manā lenā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
ye hāthoñ kī lakīreñ ba.az ā.eñgī kahāñ dilbar
inheñ to bair hai ham se karam-farmā raqīboñ par
rahegā khel qismat kā use hai khel meñ lenā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
mujhe hai ye yaqīñ pāoge tum apnī na.ī manzil
maiñ taḌpūñ yā karūñ girya nahīñ hogā koī hāsil
haTā kar mujh ko raste se qadam aage baḌhā lenā
ḳhudārā yādeñ mat lenā
shikasta hun magar daulat bhi hai hasil hui hum ko
guzare sath jo pal qadr us ki ho nahin kis ko
bane sarmaya hain wo zindagi ka pyar se rakhna
KHudara yaaden mat lena
yahi yaaden hain le jaengi hum ko aaKHri dam tak
na koi ham-safar hoga na jaega koi ghar tak
ye ghar ehsas ka hoga mera ehsas mat lena
KHudara yaaden mat lena
hai kheli pyar ki bazi na jita main na tum haari
lagaegi ye duniya zarb apne dam se hi kari
ye tai hai zaKHm mangega koi marham laga dena
KHudara yaaden mat lena
mile hum ittifaqan the magar rahen lagin yaksan
kabhi dushwariyan apni kabhi manzil rahi pinhan
ye hota rahta hai aksar jo ruThe dil mana lena
KHudara yaaden mat lena
ye hathon ki lakiren baz aaengi kahan dilbar
inhen to bair hai hum se karam-farma raqibon par
rahega khel qismat ka use hai khel mein lena
KHudara yaaden mat lena
mujhe hai ye yaqin paoge tum apni nai manzil
main taDpun ya karun girya nahin hoga koi hasil
haTa kar mujh ko raste se qadam aage baDha lena
KHudara yaaden mat lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.