ek hi rasta
mire yaar
terā mirā ek hī rāsta hai
ki palkoñ se sahrā ba-sahrā chamakdār zarrāt chun kar
sharābor muTThī meñ mahfūz karte raheñ
aur sar-e-shām
phailā ke in ko hathelī pe dekheñ
ki aayā koī reza-e-zar bhī hāsil huā yā nahīñ
kitāb-e-muqaddar bhī naqsh-e-izāfa na utre
to batn-e-tafakkur ko ummīd ke nān-e-shīrīñ se bhar kar
shagufta shuāoñ meñ sar ko jhukā.e
usī apnī mansūb rah pe nikal jaa.eñ
palkoñ se zarrāt chunñe kī ḳhātir
ġhurūb-e-shafaq tak
mere yar
tera mera ek hi rasta hai
ki palkon se sahra ba-sahra chamakdar zarraat chun kar
sharabor muTThi mein mahfuz karte rahen
aur sar-e-sham
phaila ke in ko hatheli pe dekhen
ki aaya koi reza-e-zar bhi hasil hua ya nahin
kitab-e-muqaddar bhi naqsh-e-izafa na utre
to batn-e-tafakkur ko ummid ke nan-e-shirin se bhar kar
shagufta shuaon mein sar ko jhukae
usi apni mansub rah pe nikal jaen
palkon se zarraat chunne ki KHatir
ghurub-e-shafaq tak
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 314)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.