ek husn-farosh se
mohabbat aah terī ye mohabbat raat bhar kī hai
tirī rañgīn ḳhalvat kī latāfat raat bhar kī hai
tire shādāb hoñToñ kī ināyat raat bhar kī hai
tire mastāna bosoñ kī halāvat raat bhar kī hai
mah-e-raushan hai tū aur terī tal.at raat bhar kī hai
gul-e-shabbū hai tū aur terī nik.hat raat bhar kī hai
tū kyā jaane ki saudā-e-mohabbat kis ko kahte haiñ
mohabbat aur mohabbat kī latāfat kis ko kahte haiñ
ġham-e-hijrāñ hai kyā aur soz-e-ulfat kis ko kahte haiñ
junūñ hotā hai kaisā aur vahshat kis ko kahte haiñ
tū kyā jaane ġham-e-shab-hā-e-furqat kis ko kahte haiñ
tire iz.hār-e-ulfat kī fasāhat raat bhar kī hai
nigāh-e-mast se dil ko mire taḌpā rahī hai tū
ada-e-shauq se jazbāt ko bhaḌkā rahī hai tū
mujhe bachche kī sūrat naaz se phuslā rahī hai tū
khilaune de ke bosoñ ke mujhe bahlā rahī hai tū
magar nādān hai tū aah dhokā khā rahī hai tū
tirā rū-e-daraḳhshāñ hai ba-zāhir māhtāb-āsā
tire hoñToñ kī shādābī hai rañgat meñ sharāb-āsā
tire ruḳhsār kī mahtābiyāñ haiñ āftāb-āsā
magar in kī haqīqat hai habāb-āsā sarāb-āsā
ki ġhāze kī sabāhat us pe chhā.ī hai naqāb-āsā
aur is ġhāze kī bhī jhūTī sabāhat raat bhar kī hai
ye maanā terī ḳhalvat kī fazā rūh-e-gulistāñ hai
tirī ḳhalvat kā har fānūs ik mahtāb-e-larzāñ hai
tirā abreshmī bistar nahīñ ik ḳhvāb-e-ḳhandāñ hai
tirā jism āfat-e-dil terā siina āfat-e-jāñ hai
tū ik zinda sitāra hai jo tanhā.ī meñ tābāñ hai
magar kahte haiñ tāroñ kī hukūmat raat bhar kī hai
latāfat se haiñ ḳhālī tere kumhlā.e hue bose
tarāvat se haiñ ḳhālī tere murjhā.e hue bose
nazākat se haiñ ḳhālī tere ghabrā.e hue bose
haqīqat se haiñ ḳhālī tere sharmā.e hue bose
mohabbat se haiñ ḳhālī tere ghabrā.e hue bose
aur in bosoñ kī ye jhūTī halāvat raat bhar kī hai
tire zahrīle bose mujh ko jis dam yaad ā.eñge
mire hoñToñ pe kaale naag ban kar thartharā.eñge
pashemānī ke jazbe mujh ko dīvāna banā.eñge
mire inkār ko nafrat ke ḳhanjar gudgudā.eñge
mire dil kī ragoñ meñ ġham ke sho.ale tair jā.eñge
maiñ samjhā! aah samjhā! ye masarrat raat bhar kī hai
mujhe dīvāna karne kī masarrat be-ḳhabar kab tak
rahegī mere dil meñ terī ulfat kārgar kab tak
mujhe mas.hūr rakkhegā ye ishq-e-be-samar kab tak
haqīqat kī sahar āḳhir na hogī parda-dar kab tak
mujhe maġhlūb kar ke ḳhush hai tū zālim magar kab tak
tirī ye fat.h merī ye hazīmat raat bhar kī hai
mohabbat aah teri ye mohabbat raat bhar ki hai
teri rangin KHalwat ki latafat raat bhar ki hai
tere shadab honTon ki inayat raat bhar ki hai
tere mastana boson ki halawat raat bhar ki hai
mah-e-raushan hai tu aur teri talat raat bhar ki hai
gul-e-shabbu hai tu aur teri nikhat raat bhar ki hai
tu kya jaane ki sauda-e-mohabbat kis ko kahte hain
mohabbat aur mohabbat ki latafat kis ko kahte hain
gham-e-hijran hai kya aur soz-e-ulfat kis ko kahte hain
junun hota hai kaisa aur wahshat kis ko kahte hain
tu kya jaane gham-e-shab-ha-e-furqat kis ko kahte hain
tere izhaar-e-ulfat ki fasahat raat bhar ki hai
nigah-e-mast se dil ko mere taDpa rahi hai tu
ada-e-shauq se jazbaat ko bhaDka rahi hai tu
mujhe bachche ki surat naz se phusla rahi hai tu
khilaune de ke boson ke mujhe bahla rahi hai tu
magar nadan hai tu aah dhoka kha rahi hai tu
tera ru-e-daraKHshan hai ba-zahir mahtab-asa
tere honTon ki shadabi hai rangat mein sharab-asa
tere ruKHsar ki mahtabiyan hain aaftab-asa
magar in ki haqiqat hai habab-asa sarab-asa
ki ghaze ki sabahat us pe chhai hai naqab-asa
aur is ghaze ki bhi jhuTi sabahat raat bhar ki hai
ye mana teri KHalwat ki faza ruh-e-gulistan hai
teri KHalwat ka har fanus ek mahtab-e-larzan hai
tera abreshmi bistar nahin ek KHwab-e-KHandan hai
tera jism aafat-e-dil tera sina aafat-e-jaan hai
tu ek zinda sitara hai jo tanhai mein taban hai
magar kahte hain taron ki hukumat raat bhar ki hai
latafat se hain KHali tere kumhlae hue bose
tarawat se hain KHali tere murjhae hue bose
nazakat se hain KHali tere ghabrae hue bose
haqiqat se hain KHali tere sharmae hue bose
mohabbat se hain KHali tere ghabrae hue bose
aur in boson ki ye jhuTi halawat raat bhar ki hai
tere zahrile bose mujh ko jis dam yaad aaenge
mere honTon pe kale nag ban kar thartharaenge
pashemani ke jazbe mujh ko diwana banaenge
mere inkar ko nafrat ke KHanjar gudgudaenge
mere dil ki ragon mein gham ke shoale tair jaenge
main samjha! aah samjha! ye masarrat raat bhar ki hai
mujhe diwana karne ki masarrat be-KHabar kab tak
rahegi mere dil mein teri ulfat kargar kab tak
mujhe mashur rakkhega ye ishq-e-be-samar kab tak
haqiqat ki sahar aaKHir na hogi parda-dar kab tak
mujhe maghlub kar ke KHush hai tu zalim magar kab tak
teri ye fath meri ye hazimat raat bhar ki hai
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.