ek huzniya
lafzoñ se ma.anoñ kā rishta
pahle shāyad kuchh hotā thā
jab ham tutlāyā karte the
aur apnī kachchī sī zabāñ meñ
dil se dil tak jā sakte the
lekin ab lafzoñ se ma.ānī apnā rishta pūchh rahe haiñ
ab ham ko qudrat hai zabāñ par
tutlānā ham bhuul chuke haiñ
lafzon se manon ka rishta
pahle shayad kuchh hota tha
jab hum tutlaya karte the
aur apni kachchi si zaban mein
dil se dil tak ja sakte the
lekin ab lafzon se maani apna rishta puchh rahe hain
ab hum ko qudrat hai zaban par
tutlana hum bhul chuke hain
- Book : shab-khoon(shumara-number-021) (Pg. 6)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.