ek ek aarzu sadqe mein utari jae
jashn-e-nauroz bhī hai
jashn-e-bahārāñ bhī hai
shab-e-mahtāb bhī
jashn-e-mah-e-tābāñ bhī hai
sunte haiñ
aaj hī jashn-e-shah-e-ḳhūbāñ bhī hai
aa.iye ai dil-e-barbād
chaleñ ham bhī vahāñ
jashn kī raat hai
sauġhāt to baTtī hogī
apne hisse kī
chaleñ ham bhī uThā leñ sauġhāt
dard kī
āḳhirī siine se lagā leñ sauġhāt
aur phir yuuñ ho
ki jab shaam Dhale
os meñ bhiig ke
gul-mohr kī ḳhushbū phaile
yaad kī chāñdnī
be-ḳhvāb darīchoñ pe gire
phir usī jashn kī
ye raat mire kaam aa.e
dard kī āḳhirī sauġhāt
mare kaam aa.e
āḳhir shab
shab-e-āḳhir Thahre
zid pe aayā huā ye dil Thahre
toḌ duuñ shīsha
jo hastī kā bhī phir jaam aa.e
kaam aa.e
to ye sauġhāt mire kaam aa.e
jashn kī raat hai
yuuñ nazr gizārī jaa.e
ek ik aarzū sadqe meñ utārī jaa.e
jashn-e-nauroz bhi hai
jashn-e-bahaaran bhi hai
shab-e-mahtab bhi
jashn-e-mah-e-taban bhi hai
sunte hain
aaj hi jashn-e-shah-e-KHuban bhi hai
aaiye ai dil-e-barbaad
chalen hum bhi wahan
jashn ki raat hai
saughat to baTti hogi
apne hisse ki
chalen hum bhi uTha len saughat
dard ki
aaKHiri sine se laga len saughat
aur phir yun ho
ki jab sham Dhale
os mein bhig ke
gul-mohr ki KHushbu phaile
yaad ki chandni
be-KHwab darichon pe gire
phir usi jashn ki
ye raat mere kaam aae
dard ki aaKHiri saughat
mare kaam aae
aaKHir shab
shab-e-aKHir Thahre
zid pe aaya hua ye dil Thahre
toD dun shisha
jo hasti ka bhi phir jam aae
kaam aae
to ye saughat mere kaam aae
jashn ki raat hai
yun nazr gizari jae
ek ek aarzu sadqe mein utari jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.