ek ishq ki nasli tariKH
maiñ us kī sāñseñ sūñghtā huā
dariyāoñ aur maidānoñ meñ dāḳhil huā thā
aur vo mujhe zarḳhez zamīn kī tarah milī thī
maiñ tārīk raat meñ janmā huā mahtāb thā
aur vo shiryānoñ se ḳhuun uchhāl dene vaalī tamāzat thī
maiñ ret kī kushāda-dāmanī thā
aur us kī pusht sarmā ke sūraj kī tarah thī
maiñ eḌ lagā.e hue ghoḌe kī nañgī piiTh par kūdne vaale kā beTā thā
aur us kī āñkhoñ meñ
jāToñ kī ḳhūñ-rez sadiyāñ chunautī detī thiiñ
vo gunāh kī tarah namkīn thī
aur vo zā.iqa thī jo chakkhe baġhair zabān par phir jaatā thā
aur maiñ us kī guddiī meñ daañt gaaḌ dene kī hasrat meñ thā
vo dhartī par phailā huā sarsoñ kā khet thī
aur us ke haath gandum kāTne vaalī maañ ne banā.e the
aur us kī naaf ke gird bharā-purā shikam thā
aur us kī ghunDī meñ aisī jaan thī
ki us kā baap maurya ahd meñ patthar chamkāne kā kārī-gar ma.alūm hotā thā
aur us ke jism meñ tave par surḳh kī huī roTī kī ḳhushbū thī
aur maiñ āñtoñ se ugī huī aarzū thā
aur maiñ talvāroñ kī mausīqī par paḌhā huā rajaz thā
aur maiñ tiir khaa.e hue ghoḌe se girī haar thā
aur vo ta.ane se dahkī huī vañgār thī
aur vo aisī jiit thī
jis kī yaad meñ
zamīn par koī laaTh gaaḌī jā saktī thī
main us ki sansen sunghta hua
dariyaon aur maidanon mein daKHil hua tha
aur wo mujhe zarKHez zamin ki tarah mili thi
main tarik raat mein janma hua mahtab tha
aur wo shiryanon se KHun uchhaal dene wali tamazat thi
main ret ki kushada-damani tha
aur us ki pusht sarma ke suraj ki tarah thi
main eD lagae hue ghoDe ki nangi piTh par kudne wale ka beTa tha
aur us ki aankhon mein
jaTon ki KHun-rez sadiyan chunauti deti thin
wo gunah ki tarah namkin thi
aur wo zaiqa thi jo chakkhe baghair zaban par phir jata tha
aur main us ki guddii mein dant gaD dene ki hasrat mein tha
wo dharti par phaila hua sarson ka khet thi
aur us ke hath gandum kaTne wali man ne banae the
aur us ki naf ke gird bhara-pura shikam tha
aur us ki ghunDi mein aisi jaan thi
ki us ka bap maurya ahd mein patthar chamkane ka kari-gar malum hota tha
aur us ke jism mein tawe par surKH ki hui roTi ki KHushbu thi
aur main aanton se ugi hui aarzu tha
aur main talwaron ki mausiqi par paDha hua rajaz tha
aur main tir khae hue ghoDe se giri haar tha
aur wo tane se dahki hui wangar thi
aur wo aisi jit thi
jis ki yaad mein
zamin par koi laTh gaDi ja sakti thi
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.