maiñ kore kāġhaz par likhūñ phir ek kaalī nazm
alakh jagāte sannāToñ se phir se sajā.ūñ bazm
gaddar amrūdoñ kī ḳhushbū pāgal kar jaa.e
merī in ḳhālī ā.ankhoñ ko jal-thal kar jaa.e
duur darindoñ kī āvāzeñ ḳhud se laḌtī hoñ
mere us ke biich meñ lambī rāteñ paḌtī hoñ
shiknoñ se aarī ik bistar mujh ko taktā ho
jism mirā jab aadhā sotā aadhā jagtā ho
tab maiñ karūñ ye azm
ki likhūñ koī kaalī nazm
main kore kaghaz par likhun phir ek kali nazm
alakh jagate sannaTon se phir se sajaun bazm
gaddar amrudon ki KHushbu pagal kar jae
meri in KHali aaankhon ko jal-thal kar jae
dur darindon ki aawazen KHud se laDti hon
mere us ke bich mein lambi raaten paDti hon
shiknon se aari ek bistar mujh ko takta ho
jism mera jab aadha sota aadha jagta ho
tab main karun ye azm
ki likhun koi kali nazm
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 434)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.