ek kahani bahut purani
ajab din the
ajab nā-mehrbāñ din the bahut nā-mehrbāñ din the
zamāne mujh se kahte the zamīneñ mujh se kahtī thiiñ
maiñ ik be-bas qabīle kā bahut tanhā musāfir huuñ
vo be-manzil musāfir huuñ jise ik ghar nahīñ miltā
maiñ us raste kā raahī huuñ jise rahbar nahīñ miltā
magar koī musalsal dil pe ik dastak diye jaatā thā kahtā thā musāfir!
is qadar nā-mutma.in rahne se kyā hogā
malāl aisā bhī kyā jo zehn ko har ḳhvāb se mahrūm kar de
jamāl-e-bāġh-e-ā.inda ke har imkān ko ma.adūm kar de
gul-e-fardā ko fasl-e-rañg meñ masmūm kar de
dilāse kī isī āvāz se saarī thakan kam ho ga.ī thī aur
dil ko phir qarār aane lagā thā
safar zād-e-safar shauq-e-safar par e'tibār aane lagā thā
maiñ ḳhush-qismat thā
kaisī sā.at-e-ḳhush-rañg o ḳhush-āsār meñ mujh ko
mire be-bas bahut tanhā qabīle ko nayā ghar mil gayā thā
ek rahbar mil gayā thā
ek manzil mil ga.ī thī aur imkānoñ bharā ḳhvāboñ se ummīdoñ se raushan
ek manzar mil gayā thā
ajab din the
ajab na-mehrban din the bahut na-mehrban din the
zamane mujh se kahte the zaminen mujh se kahti thin
main ek be-bas qabile ka bahut tanha musafir hun
wo be-manzil musafir hun jise ek ghar nahin milta
main us raste ka rahi hun jise rahbar nahin milta
magar koi musalsal dil pe ek dastak diye jata tha kahta tha musafir!
is qadar na-mutmain rahne se kya hoga
malal aisa bhi kya jo zehn ko har KHwab se mahrum kar de
jamal-e-bagh-e-ainda ke har imkan ko madum kar de
gul-e-farda ko fasl-e-rang mein masmum kar de
dilase ki isi aawaz se sari thakan kam ho gai thi aur
dil ko phir qarar aane laga tha
safar zad-e-safar shauq-e-safar par e'tibar aane laga tha
main KHush-qismat tha
kaisi saat-e-KHush-rang o KHush-asar mein mujh ko
mere be-bas bahut tanha qabile ko naya ghar mil gaya tha
ek rahbar mil gaya tha
ek manzil mil gai thi aur imkanon bhara KHwabon se ummidon se raushan
ek manzar mil gaya tha
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 545)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.