ek kahani
jab ham kuchh nahiñ hote to
ham Thiik hote haiñ
jab ham Thiik hote haiñ
to kuchh Thiik nahiñ hotā
aur jab kuchh Thiik nahiñ hotā
to sab ġhalat hotā hai
sahīh aur ġhalat kā ta.ayyun
do log kabhī nahiñ kar paa.e
aur isī liye aksar takiye judā
kar liye jaate haiñ
kyuuñ ki yahī shāyad Thiik
hotā hai!
jab hum kuchh nahin hote to
hum Thik hote hain
jab hum Thik hote hain
to kuchh Thik nahin hota
aur jab kuchh Thik nahin hota
to sab ghalat hota hai
sahih aur ghalat ka tayyun
do log kabhi nahin kar pae
aur isi liye aksar takiye juda
kar liye jate hain
kyun ki yahi shayad Thik
hota hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.