ek kamra-e-imtihan mein
be-nigāh āñkhoñ se dekhte haiñ parche ko
be-ḳhayāl hāthoñ se
an-bane se lafzoñ par uñgliyāñ ghumāte haiñ
yā savālnāme ko dekhte hī jaate haiñ
sochte nahīñ itnā jitnā sar khujāte haiñ
har taraf kanakhiyoñ se bach bachā ke takte haiñ
dūsroñ ke parchoñ ko rahnumā samajhte haiñ
shāyad is tarah koī rāsta hī mil jaa.e
be-nishāñ javāboñ kā kuchh pata hī mil jaa.e
mujh ko dekhte haiñ to
yuuñ javāb copy par hāshiye lagāte haiñ
dā.ere banāte haiñ
jaise un ko parche ke sab javāb aate haiñ
is tarah ke manzar maiñ
imtihān-gāhoñ meñ dekhtā hī rahtā thā
naql karne vāloñ ke
nit-na.e tarīqoñ se
aap lutf letā thā dostoñ se kahtā thā
kis taraf se jaane ye
aaj dil ke āñgan meñ ik ḳhayāl aayā hai
saikḌoñ savāloñ sā ik savāl laayā hai
vaqt kī adālat meñ
zindagī kī sūrat meñ
ye jo tere hāthoñ meñ ik savāl-nāma hai
kis ne ye banāyā hai
kis liye banāyā hai
kuchh samajh meñ aayā hai
zindagī ke parche ke
sab savāl lāzim haiñ sab savāl mushkil haiñ
be-nigāh āñkhoñ se dekhtā huuñ parche ko
be-ḳhayāl hāthoñ se
an-bane se lafzoñ par uñgliyāñ ghumātā huuñ
koī dekhtā hai to
dā.ere banātā huuñ
hāshiye lagātā huuñ
yā savāl-nāme ko dekhtā hī jaatā huuñ
be-nigah aankhon se dekhte hain parche ko
be-KHayal hathon se
an-bane se lafzon par ungliyan ghumate hain
ya sawalname ko dekhte hi jate hain
sochte nahin itna jitna sar khujate hain
har taraf kanakhiyon se bach bacha ke takte hain
dusron ke parchon ko rahnuma samajhte hain
shayad is tarah koi rasta hi mil jae
be-nishan jawabon ka kuchh pata hi mil jae
mujh ko dekhte hain to
yun jawab copy par hashiye lagate hain
daere banate hain
jaise un ko parche ke sab jawab aate hain
is tarah ke manzar main
imtihan-gahon mein dekhta hi rahta tha
naql karne walon ke
nit-nae tariqon se
aap lutf leta tha doston se kahta tha
kis taraf se jaane ye
aaj dil ke aangan mein ek KHayal aaya hai
saikDon sawalon sa ek sawal laya hai
waqt ki adalat mein
zindagi ki surat mein
ye jo tere hathon mein ek sawal-nama hai
kis ne ye banaya hai
kis liye banaya hai
kuchh samajh mein aaya hai
zindagi ke parche ke
sab sawal lazim hain sab sawal mushkil hain
be-nigah aankhon se dekhta hun parche ko
be-KHayal hathon se
an-bane se lafzon par ungliyan ghumata hun
koi dekhta hai to
daere banata hun
hashiye lagata hun
ya sawal-name ko dekhta hi jata hun
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 479)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.