ek katbe ki talash mein
havāoñ ke ta.āqub meñ
maiñ ik titlī se Takrā ke zamīñ par gir paḌā huuñ
paroñ kī gudgudāhaT se
mire māthe se ḳhuuñ bahne lagā hai
mujhe yaksāniyat se ḳhauf aatā hai
zyāda der ik hī kaifiyat meñ zinda rahnā kitnā mushkil hai
purāne mausamoñ kī nauha-ḳhvānī meñ
na.e mausam kī ḳhvāhish paidā hotī hai
maiñ apne halaq ke andar kuaañ tāmīr kartā huuñ
maiñ uḌ saktā huuñ
lekin merī be-tābī ko jaane kaun sī mauj-e-havā
āġhosh meñ legī
maiñ thak ke baiTh saktā huuñ
magar saarī zamīñ mere liye auñdhī paḌī hai
mirī sochoñ ke markaz se nikalte rāstoñ par
mere naqsh-e-pā ke be-tartīb ḳhākoñ meñ
ab āñkheñ ug ga.iiñ haiñ
havā ke haath meñ ik lauh merā ḳhvāb-nāma hai
havāoñ ke ta.āqub meñ agar maiñ mar gayā
to kaun merī lahad par us lauh ko katba banā.e.gā
hawaon ke taaqub mein
main ek titli se Takra ke zamin par gir paDa hun
paron ki gudgudahaT se
mere mathe se KHun bahne laga hai
mujhe yaksaniyat se KHauf aata hai
zyaada der ek hi kaifiyat mein zinda rahna kitna mushkil hai
purane mausamon ki nauha-KHwani mein
nae mausam ki KHwahish paida hoti hai
main apne halaq ke andar kuan tamir karta hun
main uD sakta hun
lekin meri be-tabi ko jaane kaun si mauj-e-hawa
aaghosh mein legi
main thak ke baiTh sakta hun
magar sari zamin mere liye aundhi paDi hai
meri sochon ke markaz se nikalte raston par
mere naqsh-e-pa ke be-tartib KHakon mein
ab aankhen ug gain hain
hawa ke hath mein ek lauh mera KHwab-nama hai
hawaon ke taaqub mein agar main mar gaya
to kaun meri lahad par us lauh ko katba banaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.