ek KHat
samundar ne ye ḳhālī sīpiyāñ
kaise ugal diiñ
aa ke sāhil par
maiñ pahle bhī kahā kartā thā
tujh ko yaad ho shāyad
ki terī ruuh ke gahre samundar meñ
merā dil ek siipī hai
magar maiñ ne kabhī terī mohabbat ko numā.ish meñ nahīñ rakkhā
maiñ un logoñ se chiḌtā thā
jo afsāne kahā karte haiñ yāroñ se mohabbat ke
magar vaise bhī duniyā meñ kisī kī kaun suntā hai
sunātā hai koī jab apnī bāteñ
sunñe vaalī apnī bāteñ yaad karte haiñ
magar ye kaisī rāteñ haiñ
ki aksar sote sote chauñk uThtā huuñ
mujhe to niiñd bhī ik qarz chashm-e-ambar hai
maiñ sotā jāgtā rahtā huuñ
ik aise musāfir kī tarah
jis ko kisī chhoTe se station pe
gaaḌī se utartā ho
tere hilte hue hāthoñ se
ye kaisī havā aa.ī
mirī jaañ tujh se ruḳhsat ho ke
maiñ kitnā akelā thā
aur duniyā so rahī thī
us dil kī tarah
jis ne abhī ronā na sīkhā ho
koī koñpal
kabhī zor-e-numū meñ
sañg-basta ḳhaak se laḌtī huī
bāhar nikaltī hai
ki jaise shoḳh bachche
haath aur dāman chhuḌā kar
ghar se bāhar bhaag jaa.eñ
aur guzargāhoñ pe so jaa.eñ
guzar-gāhoñ se bachchoñ ko uThā kar laao
aur gahvāra-e-jāñ meñ sulā do
vo jāgeñge to un ke ḳhvāb puure ho chuke hoñge
so āḳhir yuuñ huā
ummīd kī shāḳhoñ pe aise barg-o-bār aa.e
mirī jaañ
terā milnā tishnagī ke dasht meñ
vo āb-e-tāza thā
jo shabnam bhī hai dariyā bhī hai
aur ruuh meñ ġham ho to aañsū bhī
mujhe aañsū nahīñ milte nahīñ milte nahīñ milte
vo shab bhī kaisī shab thī
jis kā naqd-e-sub.h ab tak qarz hai
jo mujh se pūchhtā hai
ab mehnat ko kahāñ le jāoge
kis dil meñ rakhoge
maiñ chup thā
tū bhī chup thī
aur ḳhāmoshī ke lamhoñ ke
guzarte qāfile
sāñsoñ kī āvāz-e-jaras jā rahe the
ek manzil kī taraf
jo nisf jannat nisf dozaḳh thī
maiñ kitnā sañg-dil huuñ
jo terī jannat pe ḳhush hotā nahīñ
dozaḳh pe hañstā huuñ
samundar ne ye KHali sipiyan
kaise ugal din
aa ke sahil par
main pahle bhi kaha karta tha
tujh ko yaad ho shayad
ki teri ruh ke gahre samundar mein
mera dil ek sipi hai
magar main ne kabhi teri mohabbat ko numaish mein nahin rakkha
main un logon se chiDta tha
jo afsane kaha karte hain yaron se mohabbat ke
magar waise bhi duniya mein kisi ki kaun sunta hai
sunata hai koi jab apni baaten
sunne wali apni baaten yaad karte hain
magar ye kaisi raaten hain
ki aksar sote sote chaunk uThta hun
mujhe to nind bhi ek qarz chashm-e-ambar hai
main sota jagta rahta hun
ek aise musafir ki tarah
jis ko kisi chhoTe se station pe
gaDi se utarta ho
tere hilte hue hathon se
ye kaisi hawa aai
meri jaan tujh se ruKHsat ho ke
main kitna akela tha
aur duniya so rahi thi
us dil ki tarah
jis ne abhi rona na sikha ho
koi konpal
kabhi zor-e-numu mein
sang-basta KHak se laDti hui
bahar nikalti hai
ki jaise shoKH bachche
hath aur daman chhuDa kar
ghar se bahar bhag jaen
aur guzargahon pe so jaen
guzar-gahon se bachchon ko uTha kar lao
aur gahwara-e-jaan mein sula do
wo jagenge to un ke KHwab pure ho chuke honge
so aaKHir yun hua
ummid ki shaKHon pe aise barg-o-bar aae
meri jaan
tera milna tishnagi ke dasht mein
wo aab-e-taza tha
jo shabnam bhi hai dariya bhi hai
aur ruh mein gham ho to aansu bhi
mujhe aansu nahin milte nahin milte nahin milte
wo shab bhi kaisi shab thi
jis ka naqd-e-subh ab tak qarz hai
jo mujh se puchhta hai
ab mehnat ko kahan le jaoge
kis dil mein rakhoge
main chup tha
tu bhi chup thi
aur KHamoshi ke lamhon ke
guzarte qafile
sanson ki aawaz-e-jaras ja rahe the
ek manzil ki taraf
jo nisf jannat nisf dozaKH thi
main kitna sang-dil hun
jo teri jannat pe KHush hota nahin
dozaKH pe hansta hun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 263)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.