ek KHayal
tārīḳh ke bune hue thailoñ meñ hamesha
koī be-had aham chiiz rah jaatī hai
be-shak havā.eñ azīm-tarīn sanña.a haiñ
un ḳharāboñ kī jo naqsh haiñ be-rañgī ke saath
ek pur-asrār ġhair-mārūf añdhere kī dabīz dīvāroñ par
lekin āñkheñ
aise pechīda manzar ko
sehhat aur saqāhat ke saath
naql nahīñ kar saktīñ
ḳhvāh bīnā.ī kī kisī bhī qabīl se
ilāqa rakhtī hoñ
ab bilkul nayā tanāzur zarūrī hai
is nā-dīdanī se ohda-barā hone ke liye
varnā dekhnā ek ahmaqāna tasavvur hai jise
bas āñkheñ hī māntī haiñ
tariKH ke bune hue thailon mein hamesha
koi be-had aham chiz rah jati hai
be-shak hawaen azim-tarin sanna hain
un KHarabon ki jo naqsh hain be-rangi ke sath
ek pur-asrar ghair-maruf andhere ki dabiz diwaron par
lekin aankhen
aise pechida manzar ko
sehhat aur saqahat ke sath
naql nahin kar saktin
KHwah binai ki kisi bhi qabil se
ilaqa rakhti hon
ab bilkul naya tanazur zaruri hai
is na-didani se ohda-bara hone ke liye
warna dekhna ek ahmaqana tasawwur hai jise
bas aankhen hi manti hain
- Book : andhi ka rajz (Pg. 126)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.