ek khel
ek chobīñ ghoḌā
ek ġhā.eb savār
aur ek simTā huā maidān
ye haiñ markazī kirdār
ek be-musannif tamsīl ke
jo bahar-sūrat ḳhatm hotī hai
ek muhmal nā-āġhāzī par
kisī pechīda dhabbe kī tarah
jo sabt hai ek nā-āmāda nā-gustarda
chādar par
chobīñ ghoḌā apnā kirdār umdagī se adā kartā hai
agar ġhā.eb savār apne hisse kā kaam nahīñ bhūltā
simTā huā maidān nahīñ farāham kar saktā vo fāsla
jo mashshāqī se tai kiyā jaa.e
jab tak ki nāzirīn andhe na ho jaa.eñ
ye koī munāsib baat na hogī ki pesh kiyā jaa.e
aisā āsmānī khel
us sayyāre par jahāñ
vaqt hanūz nāqis hai
aur harkat tā-hāl nā-ḳhālis
ab hameñ chalnā chāhiye!
ek chobin ghoDa
ek ghaeb sawar
aur ek simTa hua maidan
ye hain markazi kirdar
ek be-musannif tamsil ke
jo bahar-surat KHatm hoti hai
ek muhmal na-aghazi par
kisi pechida dhabbe ki tarah
jo sabt hai ek na-amada na-gustarda
chadar par
chobin ghoDa apna kirdar umdagi se ada karta hai
agar ghaeb sawar apne hisse ka kaam nahin bhulta
simTa hua maidan nahin faraham kar sakta wo fasla
jo mashshaqi se tai kiya jae
jab tak ki nazirin andhe na ho jaen
ye koi munasib baat na hogi ki pesh kiya jae
aisa aasmani khel
us sayyare par jahan
waqt hanuz naqis hai
aur harkat ta-haal na-KHalis
ab hamein chalna chahiye!
- Book : andhi ka rajz (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.