ek KHwab
purānī qabreñ adhūre chehre ugal rahī thiiñ
adhūre chehre purānī qabroñ kī sard-zā bhurbhurī udāsī jo apne uupar girā rahe the
to aariz o chashm o lab kī tashkīl ho rahī thī
vo ek kun jo hazār sadiyoñ se multavī thā ab us kī ta.amīl ho rahī thī
qubūr-e-ḳhasta se gaah ḳhezāñ o gaah uftāñ, hujūm-e-isyāñ
har ek rishte se, har ta.alluq se māvarā thā
ga.e dinoñ kī mohabbatoñ ko, raqābatoñ ko, sa.ūbatoñ ko bhulā chukā thā
hujūm apne azal ke maqsūm ke mutābiq
ḳhud apne anjām ke junūñ meñ kashāñ kashāñ raah kāTtā thā
zamāna apne jamāl ko tark kar chukā thā
jalāl us ke buzurg chehre kī har shikan meñ dubak gayā thā
buzurg chehrā, hameshgī kā qadīm chehra
azal se is din kā muntazir thā
ki kab ye amboh-e-ḳhāksārāñ
ḳhud apne a.amāl ke khanakte hue salāsil meñ ġharq aa.e
gunāh barte savāb paa.e
purani qabren adhure chehre ugal rahi thin
adhure chehre purani qabron ki sard-za bhurbhuri udasi jo apne upar gira rahe the
to aariz o chashm o lab ki tashkil ho rahi thi
wo ek kun jo hazar sadiyon se multawi tha ab us ki tamil ho rahi thi
qubur-e-KHasta se gah KHezan o gah uftan, hujum-e-isyan
har ek rishte se, har talluq se mawara tha
gae dinon ki mohabbaton ko, raqabaton ko, saubaton ko bhula chuka tha
hujum apne azal ke maqsum ke mutabiq
KHud apne anjam ke junun mein kashan kashan rah kaTta tha
zamana apne jamal ko tark kar chuka tha
jalal us ke buzurg chehre ki har shikan mein dubak gaya tha
buzurg chehra, hameshgi ka qadim chehra
azal se is din ka muntazir tha
ki kab ye amboh-e-KHaksaran
KHud apne aamal ke khanakte hue salasil mein gharq aae
gunah barte sawab pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.