ek KHwahish
terā chehra saada kāġhaz
hai ta.assur korā korā
daaġh hai koī na koī naqsh hai!
kyuuñ ye khiḌkī band hai?
aa tujhe apne laboñ se chuum kar
tere chehre ko banā duuñ ek achchhī sī bayāz
taaki is par har ghaḌī bante raheñ miTte raheñ
tere andar ghūmte phirte hue
nā-shunīda aur nā-gufta hurūf
aa ye khiḌkī khol duuñ
taaki terā andarūñ
(terī palkoñ kī chiqoñ tak hī sahī) bāhar to aa.e
saada kāġhaz par koī tahrīr ho
chaukhaTe meñ koī to tasvīr ho
varna ye ban jā.egā aḳhbār
kārobār-e-īn-o-āñ kā ishtihār
vaqt ke talvoñ se qatra qatra ḳhuuñ
tere chehre par Tapaktā jā.egā jam jā.egā
nā-shunīda aur nā-gufta hurūf
gaD.maDā jā.eñge ho jā.eñge 'jumble-up' baham
band khiḌkī ke paToñ par shoḳh laḌke
kuchh kā kuchh likhte raheñge
tera chehra sada kaghaz
hai tassur kora kora
dagh hai koi na koi naqsh hai!
kyun ye khiDki band hai?
aa tujhe apne labon se chum kar
tere chehre ko bana dun ek achchhi si bayaz
taki is par har ghaDi bante rahen miTte rahen
tere andar ghumte phirte hue
na-shunida aur na-gufta huruf
aa ye khiDki khol dun
taki tera andarun
(teri palkon ki chiqon tak hi sahi) bahar to aae
sada kaghaz par koi tahrir ho
chaukhaTe mein koi to taswir ho
warna ye ban jaega aKHbar
karobar-e-in-o-an ka ishtihaar
waqt ke talwon se qatra qatra KHun
tere chehre par Tapakta jaega jam jaega
na-shunida aur na-gufta huruf
gaDmaDa jaenge ho jaenge 'jumble-up' baham
band khiDki ke paTon par shoKH laDke
kuchh ka kuchh likhte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.