ek laDki ka git
jahāñ chiḌiyāñ ghanerī jhāḌiyoñ meñ chahchahātī hoñ
jahāñ shāḳhoñ pe kaliyāñ nit na.ī ḳhushbū luTātī hoñ
aur un par koyaleñ kū kū ke mīThe giit gaatī hoñ
vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahāñ barsāt ke mausam meñ sabza lahlahātā ho
havā kī chheḌ se ek ek pattā thartharātā ho
jahāñ chashmoñ kā paanī narm lai meñ gungunātā ho
vahāñ maiñ huuñ merī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahāñ ūñche pahāḌoñ par ghaTā.eñ ghir ke aatī hoñ
havā kī god meñ nīlam kī pariyāñ muskurātī hoñ
aur apne nīlgūñ hoñToñ se motī meñ luTātī hoñ
vahāñ maiñ huuñ merī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahāñ nahroñ meñ bahtā paanī motī sā chhalaktā ho
jahāñ chāroñ taraf gulzār meñ sabza lahaktā ho
jahāñ phūloñ kī ḳhushbuoñ se ban kā ban mahaktā ho
vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahāñ phūloñ kī ḳhushbuoñ se ban kā ban mahaktā ho
jahāñ bāġhoñ meñ aur khetoñ meñ har yā dil lahaktā ho
jahāñ Tesū ke ik ik phuul meñ sho.ala dahaktā ho
vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahāñ aamoñ ke hoñ baaġh aur koī rakhvālā na ho hargiz
koī kuttā bhī maalī ne jahāñ paalā na ho hargiz
aur ammāñ jī sā koī dekhne vaalā na ho hargiz
vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
ilāhī mere dil kī aarzū jaldī se puurī ho
vahāñ le chal jahāñ is fasl meñ jaanā zarūrī ho
marī ho shimla ho solan ho dalhozī masūrī ho
vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho
jahan chiDiyan ghaneri jhaDiyon mein chahchahati hon
jahan shaKHon pe kaliyan nit nai KHushbu luTati hon
aur un par koyalen ku ku ke miThe git gati hon
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
jahan barsat ke mausam mein sabza lahlahata ho
hawa ki chheD se ek ek patta thartharaata ho
jahan chashmon ka pani narm lai mein gungunata ho
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
jahan unche pahaDon par ghaTaen ghir ke aati hon
hawa ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hon
aur apne nilgun honTon se moti mein luTati hon
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
jahan nahron mein bahta pani moti sa chhalakta ho
jahan chaaron taraf gulzar mein sabza lahakta ho
jahan phulon ki KHushbuon se ban ka ban mahakta ho
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
jahan phulon ki KHushbuon se ban ka ban mahakta ho
jahan baghon mein aur kheton mein har ya dil lahakta ho
jahan Tesu ke ek ek phul mein shoala dahakta ho
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
jahan aamon ke hon bagh aur koi rakhwala na ho hargiz
koi kutta bhi mali ne jahan pala na ho hargiz
aur amman ji sa koi dekhne wala na ho hargiz
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
ilahi mere dil ki aarzu jaldi se puri ho
wahan le chal jahan is fasl mein jaana zaruri ho
mari ho shimla ho solan ho dalhozi masuri ho
wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.